4 Īsā ne jawāb diyā, “Ai ḳhātūn, merā āp se kyā wāstā? Merā waqt abhī nahīṅ āyā.”
5 Lekin us kī māṅ ne naukaroṅ ko batāyā, “Jo kuchh wuh tum ko batāe wuh karo.” 6 Wahāṅ patthar ke chhih maṭke paṛe the jinheṅ Yahūdī dīnī ġhusl ke lie istemāl karte the. Har ek meṅ taqrīban 100 liṭar kī gunjāish thī. 7 Īsā ne naukaroṅ se kahā, “Maṭkoṅ ko pānī se bhar do.” Chunāṅche unhoṅ ne unheṅ labālab bhar diyā. 8 Phir us ne kahā, “Ab kuchh nikāl kar ziyāfat kā intazām chalāne wāle ke pās le jāo.” Unhoṅ ne aisā hī kiyā. 9 Jyoṅ hī ziyāfat kā intazām chalāne wāle ne wuh pānī chakhā jo mai meṅ badal gayā thā to us ne dūlhe ko bulāyā. (Use mālūm na thā ki yih kahāṅ se āī hai, agarche un naukaroṅ ko patā thā jo use nikāl kar lāe the.) 10 Us ne kahā, “Har mezbān pahle achchhī qism kī mai pīne ke lie pesh kartā hai. Phir jab logoṅ ko nashā chaṛhne lage to wuh nisbatan ghaṭiyā qism kī mai pilāne lagtā hai. Lekin āp ne achchhī mai ab tak rakh chhoṛī hai.”
11 Yoṅ Īsā ne Galīl ke Qānā meṅ yih pahlā ilāhī nishān dikhā kar apne jalāl kā izhār kiyā. Yih dekh kar us ke shāgird us par īmān lāe.
12 Is ke bād wuh apnī māṅ, apne bhāiyoṅ aur apne shāgirdoṅ ke sāth Kafarnahūm ko chalā gayā. Wahāṅ wuh thoṛe din rahe.
18 Yahūdiyoṅ ne jawāb meṅ pūchhā, “Āp hameṅ kyā ilāhī nishān dikhā sakte haiṅ tāki hameṅ yaqīn āe ki āp ko yih karne kā iḳhtiyār hai?”
19 Īsā ne jawāb diyā, “is maqdis ko ḍhā do to maiṅ ise tīn din ke andar dubārā tāmīr kar dūṅgā.”
20 Yahūdiyoṅ ne kahā, “Baitul-muqaddas ko tāmīr karne meṅ 46 sāl lag gae the aur āp use tīn din meṅ tāmīr karnā chāhte haiṅ?”
21 Lekin jab Īsā ne “Is maqdis” ke alfāz istemāl kie to is kā matlab us kā apnā badan thā. 22 Us ke murdoṅ meṅ se jī uṭhne ke bād us ke shāgirdoṅ ko us kī yih bāt yād āī. Phir wuh kalām-e-muqaddas aur un bātoṅ par īmān lāe jo Īsā ne kī thīṅ.