4 Jab Īsā ko yih ḳhabar milī to us ne kahā, “Is bīmārī kā anjām maut nahīṅ hai, balki yih Allāh ke jalāl ke wāste huā hai, tāki is se Allāh ke Farzand ko jalāl mile.”
5 Īsā Marthā, Mariyam aur Lāzar se muhabbat rakhtā thā. 6 To bhī wuh Lāzar ke bāre meṅ ittalā milne ke bād do din aur wahīṅ ṭhahrā. 7 Phir us ne apne shāgirdoṅ se bāt kī, “Āo, ham dubārā Yahūdiyā chale jāeṅ.”
8 Shāgirdoṅ ne etarāz kiyā, “Ustād, abhī abhī wahāṅ ke Yahūdī āp ko sangsār karne kī koshish kar rahe the, phir bhī āp wāpas jānā chāhte haiṅ?”
9 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā din meṅ raushnī ke bārah ghanṭe nahīṅ hote? Jo shaḳhs din ke waqt chaltā phirtā hai wuh kisī bhī chīz se nahīṅ ṭakrāegā, kyoṅki wuh is duniyā kī raushnī ke zariye dekh saktā hai. 10 Lekin jo rāt ke waqt chaltā hai wuh chīzoṅ se ṭakrā jātā hai, kyoṅki us ke pās raushnī nahīṅ hai.” 11 Phir us ne kahā, “Hamārā dost Lāzar so gayā hai. Lekin maiṅ jā kar use jagā dūṅgā.”
12 Shāgirdoṅ ne kahā, “Ḳhudāwand, agar wuh so rahā hai to wuh bach jāegā.”
13 Un kā ḳhayāl thā ki Īsā Lāzar kī fitrī nīnd kā zikr kar rahā hai jabki haqīqat meṅ wuh us kī maut kī taraf ishārā kar rahā thā. 14 Is lie us ne unheṅ sāf batā diyā, “Lāzar wafāt pā gayā hai. 15 Aur tumhārī ḳhātir maiṅ ḳhush hūṅ ki maiṅ us ke marte waqt wahāṅ nahīṅ thā, kyoṅki ab tum īmān lāoge. Āo, ham us ke pās jāeṅ.”
16 Tomā ne jis kā laqab Juṛwāṅ thā apne sāthī shāgirdoṅ se kahā, “Chalo, ham bhī wahāṅ jā kar us ke sāth mar jāeṅ.”
20 Yih sun kar ki Īsā ā rahā hai Marthā use milne gaī. Lekin Mariyam ghar meṅ baiṭhī rahī. 21 Marthā ne kahā, “Ḳhudāwand, agar āp yahāṅ hote to merā bhāī na martā. 22 Lekin maiṅ jāntī hūṅ ki ab bhī Allāh āp ko jo bhī māṅgeṅge degā.”
23 Īsā ne use batāyā, “Terā bhāī jī uṭhegā.”
24 Marthā ne jawāb diyā, “Jī, mujhe mālūm hai ki wuh qiyāmat ke din jī uṭhegā, jab sab jī uṭheṅge.”
25 Īsā ne use batāyā, “Qiyāmat aur zindagī to maiṅ hūṅ. Jo mujh par īmān rakhe wuh zindā rahegā, chāhe wuh mar bhī jāe. 26 Aur jo zindā hai aur mujh par īmān rakhtā hai wuh kabhī nahīṅ maregā. Marthā, kyā tujhe is bāt kā yaqīn hai?”
27 Marthā ne jawāb diyā, “Jī Ḳhudāwand, maiṅ īmān rakhtī hūṅ ki āp Ḳhudā ke Farzand Masīh haiṅ, jise duniyā meṅ ānā thā.”
32 Mariyam Īsā ke pās pahuṅch gaī. Use deḳhte hī wuh us ke pāṅwoṅ meṅ gir gaī aur kahne lagī, “Ḳhudāwand, agar āp yahāṅ hote to merā bhāī na martā.”
33 Jab Īsā ne Mariyam aur us ke sāthiyoṅ ko rote dekhā to use baṛī ranjish huī. Muztarib hālat meṅ 34 us ne pūchhā, “Tum ne use kahāṅ rakhā hai?”
35 Īsā ro paṛā. 36 Yahūdiyoṅ ne kahā, “Dekho, wuh use kitnā azīz thā.”
37 Lekin un meṅ se bāz ne kahā, “Is ādmī ne andhe ko shafā dī. Kyā yih Lāzar ko marne se nahīṅ bachā saktā thā?”
40 Īsā ne us se kahā, “Kyā maiṅ ne tujhe nahīṅ batāyā ki agar tū īmān rakhe to Allāh kā jalāl dekhegī?” 41 Chunāṅche unhoṅ ne patthar ko haṭā diyā. Phir Īsā ne apnī nazar uṭhā kar kahā, “Ai Bāp, maiṅ terā shukr kartā hūṅ ki tū ne merī sun lī hai. 42 Maiṅ to jāntā hūṅ ki tū hameshā merī suntā hai. Lekin maiṅ ne yih bāt pās khaṛe logoṅ kī ḳhātir kī, tāki wuh īmān lāeṅ ki tū ne mujhe bhejā hai.” 43 Phir Īsā zor se pukār uṭhā, “Lāzar, nikal ā!” 44 Aur murdā nikal āyā. Abhī tak us ke hāth aur pāṅw paṭṭiyoṅ se bandhe hue the jabki us kā chehrā kapṛe meṅ lipṭā huā thā. Īsā ne un se kahā, “Is ke kafan ko khol kar ise jāne do.”
49 Un meṅ se ek Kāyfā thā jo us sāl imām-e-āzam thā. Us ne kahā, “Āp kuchh nahīṅ samajhte 50 aur is kā ḳhayāl bhī nahīṅ karte ki is se pahle ki pūrī qaum halāk ho jāe behtar yih hai ki ek ādmī ummat ke lie mar jāe.” 51 Us ne yih bāt apnī taraf se nahīṅ kī thī. Us sāl ke imām-e-āzam kī haisiyat se hī us ne yih peshgoī kī ki Īsā Yahūdī qaum ke lie maregā. 52 Aur na sirf is ke lie balki Allāh ke bikhre hue farzandoṅ ko jamā karke ek karne ke lie bhī.
53 Us din se unhoṅ ne Īsā ko qatl karne kā irādā kar liyā. 54 Is lie us ne ab se alāniyā Yahūdiyoṅ ke darmiyān waqt na guzārā, balki us jagah ko chhoṛ kar registān ke qarīb ek ilāqe meṅ gayā. Wahāṅ wuh apne shāgirdoṅ samet ek gāṅw banām Ifrāīm meṅ rahne lagā.
55 Phir Yahūdiyoṅ kī Īd-e-Fasah qarīb ā gaī. Dehāt se bahut-se log apne āp ko pāk karwāne ke lie īd se pahle pahle Yarūshalam pahuṅche. 56 Wahāṅ wuh Īsā kā patā karte aur Baitul-muqaddas meṅ khaṛe āpas meṅ bāt karte rahe, “Kyā ḳhayāl hai? Kyā wuh tahwār par nahīṅ āegā?” 57 Lekin rāhnumā imāmoṅ aur Farīsiyoṅ ne hukm diyā thā, “Agar kisī ko mālūm ho jāe ki Īsā kahāṅ hai to wuh ittalā de tāki ham use giriftār kar leṅ.”
<- Yūhannā 10Yūhannā 12 ->