6 Īsā ne unheṅ yih tamsīl pesh kī, lekin wuh na samjhe ki wuh unheṅ kyā batānā chāhtā hai.
11 Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Achchhā charwāhā apnī bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hai. 12 Mazdūr charwāhe kā kirdār adā nahīṅ kartā, kyoṅki bheṛeṅ us kī apnī nahīṅ hotīṅ. Is lie jyoṅ hī koī bheṛiyā ātā hai to mazdūr use deḳhte hī bheṛoṅ ko chhoṛ kar bhāg jātā hai. Natīje meṅ bheṛiyā kuchh bheṛeṅ pakaṛ letā aur bāqiyoṅ ko muntashir kar detā hai. 13 Wajah yih hai ki wuh mazdūr hī hai aur bheṛoṅ kī fikr nahīṅ kartā. 14 Achchhā charwāhā maiṅ hūṅ. Maiṅ apnī bheṛoṅ ko jāntā hūṅ aur wuh mujhe jāntī haiṅ, 15 bilkul usī tarah jis tarah Bāp mujhe jāntā hai aur maiṅ Bāp ko jāntā hūṅ. Aur maiṅ bheṛoṅ ke lie apnī jān detā hūṅ. 16 Merī aur bhī bheṛeṅ haiṅ jo is bāṛe meṅ nahīṅ haiṅ. Lāzim hai ki unheṅ bhī le āūṅ. Wuh bhī merī āwāz suneṅgī. Phir ek hī gallā aur ek hī gallābān hogā.
17 Merā Bāp mujhe is lie pyār kartā hai ki maiṅ apnī jān detā hūṅ tāki use phir le lūṅ. 18 Koī merī jān mujh se chhīn nahīṅ saktā balki maiṅ use apnī marzī se de detā hūṅ. Mujhe use dene kā iḳhtiyār hai aur use wāpas lene kā bhī. Yih hukm mujhe apne Bāp kī taraf se milā hai.”
19 In bātoṅ par Yahūdiyoṅ meṅ dubārā phūṭ paṛ gaī. 20 Bahutoṅ ne kahā, “Yih badrūh kī girift meṅ hai, yih dīwānā hai. Is kī kyoṅ suneṅ!”
21 Lekin auroṅ ne kahā, “Yih aisī bāteṅ nahīṅ haiṅ jo badrūh-giriftā shaḳhs kar sake. Kyā badrūheṅ andhoṅ kī āṅkheṅ bahāl kar saktī haiṅ?”
25 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko batā chukā hūṅ, lekin tum ko yaqīn nahīṅ āyā. Jo kām maiṅ apne Bāp ke nām se kartā hūṅ wuh mere gawāh haiṅ. 26 Lekin tum īmān nahīṅ rakhte kyoṅki tum merī bheṛeṅ nahīṅ ho. 27 Merī bheṛeṅ merī āwāz suntī haiṅ. Maiṅ unheṅ jāntā hūṅ aur wuh mere pīchhe chaltī haiṅ. 28 Maiṅ unheṅ abadī zindagī detā hūṅ, is lie wuh kabhī halāk nahīṅ hoṅgī. Koī unheṅ mere hāth se chhīn na legā, 29 kyoṅki mere Bāp ne unheṅ mere sapurd kiyā hai aur wuhī sab se baṛā hai. Koī unheṅ Bāp ke hāth se chhīn nahīṅ saktā. 30 Maiṅ aur Bāp ek haiṅ.”
31 Yih sun kar Yahūdī dubārā patthar uṭhāne lage tāki Īsā ko sangsār kareṅ. 32 Us ne un se kahā, “Maiṅ ne tumheṅ Bāp kī taraf se kaī ilāhī nishān dikhāe haiṅ. Tum mujhe in meṅ se kis nishān kī wajah se sangsār kar rahe ho?”
33 Yahūdiyoṅ ne jawāb diyā, “Ham tum ko kisī achchhe kām kī wajah se sangsār nahīṅ kar rahe balki kufr bakne kī wajah se. Tum jo sirf insān ho Allāh hone kā dāwā karte ho.”
34 Īsā ne kahā, “Kyā yih tumhārī sharīat meṅ nahīṅ likhā hai ki Allāh ne farmāyā, ‘Tum Ḳhudā ho’? 35 Unheṅ ‘Ḳhudā’ kahā gayā jin tak Allāh kā yih paiġhām pahuṅchāyā gayā. Aur ham jānte haiṅ ki kalām-e-muqaddas ko mansūḳh nahīṅ kiyā jā saktā. 36 To phir tum kufr bakne kī bāt kyoṅ karte ho jab maiṅ kahtā hūṅ ki maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ? Āḳhir Bāp ne ḳhud mujhe maḳhsūs karke duniyā meṅ bhejā hai. 37 Agar maiṅ apne Bāp ke kām na karūṅ to merī bāt na māno. 38 Lekin agar us ke kām karūṅ to beshak merī bāt na māno, lekin kam az kam un kāmoṅ kī gawāhī to māno. Phir tum jān loge aur samajh jāoge ki Bāp mujh meṅ hai aur maiṅ Bāp meṅ hūṅ.”
39 Ek bār phir unhoṅ ne use giriftār karne kī koshish kī, lekin wuh un ke hāth se nikal gayā.
40 Phir Īsā dubārā Dariyā-e-Yardan ke pār us jagah chalā gayā jahāṅ Yahyā shurū meṅ baptismā diyā kartā thā. Wahāṅ wuh kuchh der ṭhahrā. 41 Bahut-se log us ke pās āte rahe. Unhoṅ ne kahā, “Yahyā ne kabhī koī ilāhī nishān na dikhāyā, lekin jo kuchh us ne is ke bāre meṅ bayān kiyā, wuh bilkul sahīh niklā.” 42 Aur wahāṅ bahut-se log Īsā par īmān lāe.
<- Yūhannā 9Yūhannā 11 ->