2 “Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum ne ḳhud wuh baṛī āfat dekhī jo maiṅ Yarūshalam aur Yahūdāh ke dīgar tamām shahroṅ par lāyā. Āj wuh wīrān-o-sunsān haiṅ, aur un meṅ koī nahīṅ bastā. 3 Yoṅ unheṅ un kī burī harkatoṅ kā ajr milā. Kyoṅki ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr jalā kar un kī ḳhidmat karne se unhoṅ ne mujhe taish dilāyā. Aur yih aise dewatā the jin se pahle na wuh, na tum aur na tumhāre bāpdādā wāqif the. 4 Bār bār maiṅ nabiyoṅ ko un ke pās bhejtā rahā, aur bār bār mere ḳhādim kahte rahe ki aisī ghinaunī harkateṅ mat karnā, kyoṅki mujhe in se nafrat hai! 5 Lekin unhoṅ ne na sunī, na dhyān diyā. Na wuh apnī bedīnī se bāz āe, na ajnabī mābūdoṅ ko baḳhūr jalāne kā silsilā band kiyā.
6 Tab merā shadīd ġhazab un par nāzil huā. Mere qahr kī zabardast āg ne Yahūdāh ke shahroṅ aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ phailte phailte unheṅ wīrān-o-sunsān kar diyā. Āj tak un kā yihī hāl hai.’
7 Ab Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Tum apnā satyānās kyoṅ kar rahe ho? Aise qadam uṭhāne se tum Yahūdāh se āe hue mardoṅ aur auratoṅ ko bachchoṅ aur shīrḳhāroṅ samet halākat kī taraf lā rahe ho. Is sūrat meṅ ek bhī nahīṅ bachegā. 8 Mujhe apne hāthoṅ ke kām se taish kyoṅ dilāte ho? Yahāṅ Misr meṅ panāh le kar tum ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr kyoṅ jalāte ho? Is se tum apne āp ko nest-o-nābūd kar rahe ho, tum duniyā kī tamām qaumoṅ ke lie lānat aur mazāq kā nishānā banoge. 9 Kyā tumheṅ wuh burāiyāṅ yād nahīṅ jo tumhāre bāpdādā, Yahūdāh ke rājā-rāniyoṅ aur tum se tumhārī bīwiyoṅ samet Mulk-e-Yahūdāh aur Yarūshalam kī galiyoṅ meṅ sarzad huī haiṅ? 10 Āj tak tum ne na inkisārī kā izhār kiyā, na merā ḳhauf mānā, aur na merī sharīat ke mutābiq zindagī guzārī. Tum un hidāyāt ke tābe na rahe jo maiṅ ne tumheṅ aur tumhāre bāpdādā ko atā kī thīṅ.’
11 Chunāṅche Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai, ‘Maiṅ tum par āfat lāne kā aṭal irādā rakhtā hūṅ. Tamām Yahūdāh ḳhatm ho jāegā. 12 Maiṅ Yahūdāh ke us bache hue hisse ko safhā-e-hastī se miṭā dūṅgā jo Misr meṅ jā kar panāh lene par tulā huā thā. Sab Misr meṅ halāk ho jāeṅge, ḳhāh talwār se, ḳhāh kāl se. Chhoṭe se le kar baṛe tak sab ke sab talwār yā kāl kī zad meṅ ā kar mar jāeṅge. Unheṅ dekh kar logoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho jāeṅge, aur wuh dūsroṅ kī lān-tān aur hiqārat kā nishānā baneṅge. Lānat karne wālā apne dushmanoṅ ke lie unhīṅ kā-sā anjām chāhegā. 13 Jis tarah maiṅ ne Yarūshalam ko sazā dī ain usī tarah maiṅ Misr meṅ āne wāle hamwatanoṅ ko talwār, kāl aur mohlak bīmāriyoṅ se sazā dūṅgā. 14 Yahūdāh ke jitne bache hue log yahāṅ Misr meṅ panāh lene ke lie āe haiṅ wuh sab yihīṅ halāk ho jāeṅge. Koī bhī bach kar Mulk-e-Yahūdāh meṅ nahīṅ lauṭegā, go tum sab wahāṅ dubārā ābād hone kī shadīd ārzū rakhte ho. Sirf chand ek is meṅ kāmyāb ho jāeṅge.’ ”
24 Phir Yarmiyāh ne tamām logoṅ se auratoṅ samet kahā, “Ai Misr meṅ rahne wāle Yahūdāh ke tamām hamwatano, Rab kā kalām suno! 25 Rabbul-afwāj jo Isrāīl kā Ḳhudā hai farmātā hai ki tum aur tumhārī bīwiyoṅ ne isrār kiyā hai, ‘Ham zarūr apnī un mannatoṅ ko pūrā kareṅge jo ham ne mānī haiṅ, ham zarūr āsmānī malikā ko baḳhūr aur mai kī nazareṅ pesh kareṅge.’ Aur tum ne apne alfāz aur apnī harkatoṅ se sābit kar diyā hai ki tum sanjīdagī se apne is elān par amal karnā chāhte ho. To ṭhīk hai, apnā wādā aur apnī mannateṅ pūrī karo!
26 Lekin ai Misr meṅ rahne wāle tamām hamwatano, Rab ke kalām par dhyān do! Rab farmātā hai ki mere azīm nām kī qasam, āindā Misr meṅ tum meṅ se koī merā nām le kar qasam nahīṅ khāegā, koī nahīṅ kahegā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq kī hayāt kī qasam!’ 27 Kyoṅki maiṅ tumhārī nigarānī kar rahā hūṅ, lekin tum par mehrbānī karne ke lie nahīṅ balki tumheṅ nuqsān pahuṅchāne ke lie. Misr meṅ rahne wāle Yahūdāh ke tamām log talwār aur kāl kī zad meṅ ā jāeṅge aur piste piste halāk ho jāeṅge. 28 Sirf chand ek dushman kī talwār se bach kar Mulk-e-Yahūdāh wāpas āeṅge. Tab Yahūdāh ke jitne bache hue log Misr meṅ panāh lene ke lie āe haiṅ wuh sab jān leṅge ki kis kī bāt durust niklī hai, merī yā un kī. 29 Rab farmātā hai ki maiṅ tumheṅ nishān bhī detā hūṅ tāki tumheṅ yaqīn ho jāe ki maiṅ tumhāre ḳhilāf ḳhālī bāteṅ nahīṅ kar rahā balki tumheṅ yaqīnan Misr meṅ sazā dūṅgā. 30 Nishān yih hogā ki jis tarah maiṅ ne Yahūdāh ke bādshāh Sidqiyāh ko us ke jānī dushman Nabūkadnazzar ke hawāle kar diyā usī tarah maiṅ Hufrā Firaun ko bhī us ke jānī dushmanoṅ ke hawāle kar dūṅgā. Yih Rab kā farmān hai.”
<- Yarmiyāh 43Yarmiyāh 45 ->