5 Tab Rab mujh se hamkalām huā, 6 “Ai Isrāīl, kyā maiṅ tumhāre sāth waisā sulūk nahīṅ kar saktā jaisā kumhār apne bartan se kartā hai? Jis tarah miṭṭī kumhār ke hāth meṅ tashkīl pātī hai usī tarah tum mere hāth meṅ tashkīl pāte ho.” Yih Rab kā farmān hai. 7 “Kabhī maiṅ elān kartā hūṅ ki kisī qaum yā saltanat ko jaṛ se ukhāṛ dūṅgā, use girā kar tabāh kar dūṅgā. 8 Lekin kaī bār yih qaum apnī ġhalat rāh ko tark kar detī hai. Is sūrat meṅ maiṅ pachhtā kar us par wuh āfat nahīṅ lātā jo maiṅ ne lāne ko kahā thā. 9 Kabhī maiṅ kisī qaum yā saltanat ko panīrī kī tarah lagāne aur tāmīr karne kā elān bhī kartā hūṅ. 10 Lekin afsos, kaī dafā yih qaum merī nahīṅ suntī balki aisā kām karne lagtī hai jo mujhe nāpasand hai. Is sūrat meṅ maiṅ pachhtā kar us par wuh mehrbānī nahīṅ kartā jis kā elān maiṅ ne kiyā thā.
11 Ab Yahūdāh aur Yarūshalam ke bāshindoṅ se muḳhātib ho kar kah, ‘Rab farmātā hai ki maiṅ tum par āfat lāne kī taiyāriyāṅ kar rahā hūṅ, maiṅ ne tumhāre ḳhilāf mansūbā bāndh liyā hai. Chunāṅche har ek apnī ġhalat rāh se haṭ kar wāpas āe, har ek apnā chāl-chalan aur apnā rawaiyā durust kare.’ 12 Lekin afsos, yih etarāz kareṅge, ‘Dafā karo! Ham apne hī mansūbe jārī rakheṅge. Har ek apne sharīr dil kī zid ke mutābiq hī zindagī guzāregā.’ ”
19 Ai Rab, mujh par tawajjuh de aur us par ġhaur kar jo mere muḳhālif kah rahe haiṅ. 20 Kyā insān ko nek kām ke badle meṅ burā kām karnā chāhie? Kyoṅki unhoṅ ne mujhe phaṅsāne ke lie gaṛhā khod kar taiyār kar rakhā hai. Yād kar ki maiṅ ne tere huzūr khaṛe ho kar un ke lie shafā'at kī tāki terā ġhazab un par nāzil na ho. 21 Ab hone de ki un ke bachche bhūke mar jāeṅ aur wuh ḳhud talwār kī zad meṅ āeṅ. Un kī bīwiyāṅ beaulād aur shauharoṅ se mahrūm ho jāeṅ. Un ke ādmiyoṅ ko maut ke ghāṭ utārā jāe, un ke naujawān jang meṅ laṛte laṛte halāk ho jāeṅ. 22 Achānak un par jangī daste lā tāki un ke gharoṅ se chīḳhoṅ kī āwāzeṅ buland hoṅ. Kyoṅki unhoṅ ne mujhe pakaṛne ke lie gaṛhā khodā hai, unhoṅ ne mere pāṅwoṅ ko phaṅsāne ke lie mere rāste meṅ phande chhupā rakhe haiṅ.
23 Ai Rab, tū un kī mujhe qatl karne kī tamām sāzisheṅ jāntā hai. Un kā qusūr muāf na kar, aur un ke gunāhoṅ ko na miṭā balki unheṅ hameshā yād kar. Hone de ki wuh ṭhokar khā kar tere sāmne gir jāeṅ. Jab terā ġhazab nāzil hogā to un se bhī nipaṭ le.
<- Yarmiyāh 17Yarmiyāh 19 ->