5 Ai Yarūshalam, kaun tujh par tars khāegā, kaun hamdardī kā izhār karegā? Kaun tere ghar ā kar terā hāl pūchhegā?” 6 Rab farmātā hai, “Tū ne mujhe radd kiyā, apnā muṅh mujh se pher liyā hai. Ab maiṅ apnā hāth tere ḳhilāf baṛhā kar tujhe tabāh kar dūṅgā. Kyoṅki maiṅ hamdardī dikhāte dikhāte tang ā gayā hūṅ.
7 Jis tarah gandum ko hawā meṅ uchhāl kar bhūse se alag kiyā jātā hai usī tarah maiṅ unheṅ mulk ke darwāzoṅ ke sāmne phaṭkūṅgā. Chūṅki merī qaum ne apne ġhalat rāstoṅ ko tark na kiyā is lie maiṅ use beaulād banā kar barbād kar dūṅgā. 8 Us kī bewāeṅ samundar kī ret jaisī beshumār hoṅgī. Dopahar ke waqt hī maiṅ naujawānoṅ kī māoṅ par tabāhī nāzil karūṅga, achānak hī un par pech-o-tāb aur dahshat chhā jāegī. 9 Sāt bachchoṅ kī māṅ niḍhāl ho kar jān se hāth dho baiṭhegī. Din ke waqt hī us kā sūraj ḍūb jāegā, us kā faḳhr aur izzat jātī rahegī. Jo log bach jāeṅge unheṅ maiṅ dushman ke āge āge talwār se mār ḍālūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
12 Kyoṅki koī us lohe ko toṛ nahīṅ sakegā jo shimāl se āegā, hāṅ lohe aur pītal kā wuh sariyā toṛā nahīṅ jāegā. 13 Maiṅ tere ḳhazāne dushman ko muft meṅ dūṅgā. Tujhe tamām gunāhoṅ kā ajr milegā jab wuh pūre mulk meṅ terī daulat lūṭne āegā. 14 Tab maiṅ tujhe dushman ke zariye ek mulk meṅ pahuṅchā dūṅgā jis se tū nāwāqif hai. Kyoṅki mere ġhazab kī bhaṛaktī āg tujhe bhasm kar degī.”
15 Ai Rab, tū sab kuchh jāntā hai. Mujhe yād kar, merā ḳhayāl kar, tāqqub karne wāloṅ se merā intaqām le! Unheṅ yahāṅ tak bardāsht na kar ki āḳhirkār merā safāyā ho jāe. Ise dhyān meṅ rakh ki merī ruswāī terī hī ḳhātir ho rahī hai. 16 Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, jab bhī terā kalām mujh par nāzil huā to maiṅ ne use hazm kiyā, aur merā dil us se ḳhush-o-ḳhurram huā. Kyoṅki mujh par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. 17 Jab dīgar log rangraliyoṅ meṅ apne dil bahlāte the to maiṅ kabhī un ke sāth na baiṭhā, kabhī un kī bātoṅ se lutfandoz na huā. Nahīṅ, terā hāth mujh par thā, is lie maiṅ dūsroṅ se dūr hī baiṭhā rahā. Kyoṅki tū ne mere dil ko qaum par qahr se bhar diyā thā. 18 Kyā wajah hai ki merā dard kabhī ḳhatm nahīṅ hotā, ki merā zaḳhm lā'ilāj hai aur kabhī nahīṅ bhartā? Tū mere lie farebdeh chashmā ban gayā hai, aisī nadī jis ke pānī par etamād nahīṅ kiyā jā saktā.
19 Rab jawāb meṅ farmātā hai, “Agar tū mere pās wāpas āe to maiṅ tujhe wāpas āne dūṅgā, aur tū dubārā mere sāmne hāzir ho sakegā. Aur agar tū fuzūl bāteṅ na kare balki mere lāyq alfāz bole to merā tarjumān hogā. Lāzim hai ki log terī taraf rujū kareṅ, lekin ḳhabardār, kabhī un kī taraf rujū na kar!” 20 Rab farmātā hai, “Maiṅ tujhe pītal kī mazbūt dīwār banā dūṅgā tāki tū is qaum kā sāmnā kar sake. Yih tujh se laṛeṅge lekin tujh par ġhālib nahīṅ āeṅge, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ terī madad karke tujhe bachāe rakhūṅgā. 21 Maiṅ tujhe bedīnoṅ ke hāth se bachāūṅgā aur fidyā de kar zālimoṅ kī girift se chhuṛāūṅgā.”
<- Yarmiyāh 14Yarmiyāh 16 ->