8 Tab Rab kā kalām mujh par nāzil huā, 9 “Jis tarah yih kapṛā zamīn meṅ dab kar gal saṛ gayā usī tarah maiṅ Yahūdāh aur Yarūshalam kā baṛā ghamanḍ ḳhāk meṅ milā dūṅgā. 10 Yih ḳharāb log merī bāteṅ sunane ke lie taiyār nahīṅ balki apne sharīr dil kī zid ke mutābiq zindagī guzārte haiṅ. Ajnabī mābūdoṅ ke pīchhe lag kar yih unhīṅ kī ḳhidmat aur pūjā karte haiṅ. Lekin in kā anjām laṅgoṭī kī mānind hī hogā. Yih bekār ho jāeṅge. 11 Kyoṅki jis tarah laṅgoṭī ādmī kī kamr ke sāth lipṭī rahtī hai usī tarah maiṅ ne pūre Isrāīl aur pūre Yahūdāh ko apne sāth lipaṭne kā mauqā farāham kiyā tāki wuh merī qaum aur merī shohrat, tārīf aur izzat kā bāis ban jāeṅ. Lekin afsos, wuh sunane ke lie taiyār nahīṅ the.” Yih Rab kā farmān hai.
18 Bādshāh aur us kī māṅ ko ittalā de, “Apne taḳhtoṅ se utar kar zamīn par baiṭh jāo, kyoṅki tumhārī shān kā tāj tumhāre saroṅ se gir gayā hai.” 19 Dasht-e-Najab ke shahr band kie jāeṅge, aur unheṅ kholne wālā koī nahīṅ hogā. Pūre Yahūdāh ko jilāwatan kar diyā jāegā, ek bhī nahīṅ bachegā.
20 Ai Yarūshalam, apnī nazar uṭhā kar unheṅ dekh jo shimāl se ā rahe haiṅ. Ab wuh rewaṛ kahāṅ rahā jo tere sapurd kiyā gayā, terī shāndār bheṛ-bakriyāṅ kidhar haiṅ? 21 Tū us din kyā kahegī jab Rab unheṅ tujh par muqarrar karegā jinheṅ tū ne apne qarībī dost banāyā thā? Janm dene wālī aurat kā-sā dard tujh par ġhālib āegā. 22 Aur agar tere dil meṅ sawāl ubhar āe ki mere sāth yih kyoṅ ho rahā hai to sun! Yih tere sangīn gunāhoṅ kī wajah se ho rahā hai. Inhīṅ kī wajah se tere kapṛe utāre gae haiṅ aur terī ismatdarī huī hai.
23 Kyā kālā ādmī apnī jild kā rang yā chītā apnī khāl ke dhabbe badal saktā hai? Hargiz nahīṅ! Tum bhī badal nahīṅ sakte. Tum ġhalat kām ke itne ādī ho gae ho ki sahīh kām kar hī nahīṅ sakte.
24 “Jis tarah bhūsā registān kī tez hawā meṅ uṛ kar titar-bitar ho jātā hai usī tarah maiṅ tere bāshindoṅ ko muntashir kar dūṅgā.” 25 Rab farmātā hai, “Yihī terā anjām hogā, maiṅ ne ḳhud muqarrar kiyā hai ki tujhe yih ajr milnā hai. Kyoṅki tū ne mujhe bhūl kar jhūṭ par bharosā rakhā hai. 26 Maiṅ ḳhud tere kapṛe utārūṅga tāki terī barahnagī sab ko nazar āe. 27 Maiṅ ne pahāṛī aur maidānī ilāqoṅ meṅ terī ghinaunī harkatoṅ par ḳhūb dhyān diyā hai. Terī zinākārī, terā mastānā hinhinānā, terī besharm ismatfaroshī, sab kuchh mujhe nazar ātā hai. Ai Yarūshalam, tujh par afsos! Tū pāk-sāf ho jāne ke lie taiyār nahīṅ. Mazīd kitnī der lagegī?”
<- Yarmiyāh 12Yarmiyāh 14 ->