Yarmiyāh
6 Maiṅ ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, afsos! Maiṅ terā kalām sunāne kā sahīh ilm nahīṅ rakhtā, maiṅ to bachchā hī hūṅ.” 7 Lekin Rab ne mujh se farmāyā, “Mat kah ‘Maiṅ bachchā hī hūṅ.’ Kyoṅki jin ke pās bhī maiṅ tujhe bhejūṅgā un ke pās tū jāegā, aur jo kuchh bhī maiṅ tujhe sunāne ko kahūṅgā use tū sunāegā. 8 Logoṅ se mat ḍarnā, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ tujhe bachāe rakhūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
9 Phir Rab ne apnā hāth baṛhā kar mere hoṅṭoṅ ko chhū diyā aur farmāyā, “Dekh, maiṅ ne apne alfāz ko tere muṅh meṅ ḍāl diyā hai. 10 Āj maiṅ tujhe qaumoṅ aur saltanatoṅ par muqarrar kar detā hūṅ. Kahīṅ tujhe unheṅ jaṛ se ukhāṛ kar girā denā, kahīṅ barbād karke ḍhā denā aur kahīṅ tāmīr karke paude kī tarah lagā denā hai.”
13 Phir Rab kā kalām dubārā mujh par nāzil huā, “Tujhe kyā nazar ā rahā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Shimāl meṅ deg dikhāī de rahī hai. Jo kuchh us meṅ hai wuh ubal rahā hai, aur us kā muṅh hamārī taraf jhukā huā hai.” 14 Tab Rab ne mujh se kahā, “Isī tarah shimāl se mulk ke tamām bāshindoṅ par āfat ṭūṭ paṛegī.” 15 Kyoṅki Rab farmātā hai, “Maiṅ shimālī mamālik ke tamām gharānoṅ ko bulā lūṅgā, aur har ek ā kar apnā taḳht Yarūshalam ke darwāzoṅ ke sāmne hī khaṛā karegā. Hāṅ, wuh us kī pūrī fasīl ko gher kar us par balki Yahūdāh ke tamām shahroṅ par chhāpā māreṅge. 16 Yoṅ maiṅ apnī qaum par faisle sādir karke un ke ġhalat kāmoṅ kī sazā dūṅgā. Kyoṅki unhoṅ ne mujhe tark karke ajnabī mābūdoṅ ke lie baḳhūr jalāyā aur apne hāthoṅ se bane hue butoṅ ko sijdā kiyā hai.
17 Chunāṅche kamarbastā ho jā! Uṭh kar unheṅ sab kuchh sunā de jo maiṅ farmāūṅgā. Un se dahshat mat khānā, warnā maiṅ tujhe un ke sāmne hī dahshatzadā kar dūṅgā. 18 Dekh, āj maiṅ ne tujhe qilāband shahr, lohe ke satūn aur pītal kī chārdīwārī jaisā mazbūt banā diyā hai tāki tū pūre mulk kā sāmnā kar sake, ḳhāh Yahūdāh ke bādshāh, afsar, imām yā awām tujh par hamlā kyoṅ na kareṅ. 19 Tujh se laṛne ke bāwujūd wuh tujh par ġhālib nahīṅ āeṅge, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ, maiṅ hī tujhe bachāe rakhūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
Yarmiyāh 2 ->- a Julāī tā Agast.