4 Mat ḍarnā, terī ruswāī nahīṅ hogī. Sharmsār na ho, terī behurmatī nahīṅ hogī. Ab tū apnī jawānī kī sharmindagī bhūl jāegī, tere zahan se bewā hone kī zillat utar jāegī. 5 Kyoṅki terā Ḳhāliq terā shauhar hai, Rabbul-afwāj us kā nām hai, aur terā Chhuṛāne Wālā Isrāīl kā Quddūs hai, jo pūrī duniyā kā Ḳhudā kahlātā hai.”
6 Terā Ḳhudā farmātā hai, “Tū matrūkā aur dil se majrūh bīwī kī mānind hai, us aurat kī mānind jis ke shauhar ne use radd kiyā, go us kī shādī us waqt huī jab kuṅwārī hī thī. Lekin ab maiṅ, Rab ne tujhe bulāyā hai. 7 Ek hī lamhe ke lie maiṅ ne tujhe tark kiyā, lekin ab baṛe rahm se tujhe jamā karūṅga. 8 Maiṅ ne apne ġhazab kā pūrā zor tujh par nāzil karke pal-bhar ke lie apnā chehrā tujh se chhupā liyā, lekin ab abadī shafqat se tujh par rahm karūṅga.” Rab terā Chhuṛāne Wālā yih farmātā hai.
9 “Baṛe sailāb ke bād maiṅ ne Nūh se qasam khāī thī ki āindā sailāb kabhī pūrī zamīn par nahīṅ āegā. Isī tarah ab maiṅ qasam khā kar wādā kartā hūṅ ki āindā na maiṅ kabhī tujh se nārāz hūṅgā, na tujhe malāmat karūṅga. 10 Go pahāṛ haṭ jāeṅ aur pahāṛiyāṅ jumbish khāeṅ, lekin merī shafqat tujh par se kabhī nahīṅ haṭegī, merā salāmatī kā ahd kabhī nahīṅ hilegā.” Yih Rab kā farmān hai jo tujh par tars khātā hai.
16 Dekh, maiṅ hī us lohār kā Ḳhāliq hūṅ jo hawā de kar koeloṅ ko dahkā detā hai tāki kām ke lie mauzūṅ hathiyār banā le. Aur maiṅ hī ne tabāh karne wāle ko ḳhalaq kiyā tāki wuh barbādī kā kām anjām de. 17 Chunāṅche jo bhī hathiyār tujh par hamlā karne ke lie taiyār ho jāe wuh nākām hogā, aur jo bhī zabān tujh par ilzām lagāe use tū mujrim sābit karegī. Yihī Rab ke ḳhādimoṅ kā maurūsī hissā hai, maiṅ hī un kī rāstbāzī barqarār rakhūṅgā.” Rab ḳhud yih farmātā hai.
<- Yasāyāh 53Yasāyāh 55 ->