Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
29
Yarūshalam Ḳhabardār Rahe
1 Ai Ariyel, Ariyel, *Murād hai Yarūshalam. Ariyel kā ek matlab ‘Allāh kā Sherbabar’ aur dūsrā ‘Bhasm Hone Wālī Qurbāniyoṅ kī Qurbāngāh’ hai. Yahāṅ donoṅ matlab mumkin haiṅ. tujh par afsos! Ai shahr jis meṅ Dāūd ḳhaimāzan thā, tujh par afsos! Chalo, sāl basāl apne tahwār manāte raho. 2 Lekin maiṅ Ariyel ko yoṅ gher kar tang karūṅga ki us meṅ āh-o-zārī sunāī degī. Tab Yarūshalam mere nazdīk sahīh mānoṅ meṅ Ariyel sābit hogā. 3 Kyoṅki maiṅ tujhe har taraf se pushtābandī se gher kar band rakhūṅgā, tere muhāsare kā pūrā band-o-bast karūṅga. 4 Tab tū itnā past hogā ki ḳhāk meṅ se bolegā, terī dabī dabī āwāz gard meṅ se niklegī. Jis tarah murdā rūh zamīn ke andar se sargoshī kartī hai usī tarah terī dhīmī dhīmī āwāz zamīn meṅ se niklegī.

5 Lekin achānak tere muta'addid dushman bārīk dhūl kī tarah uṛ jāeṅge, zālimoṅ kā ġhol hawā meṅ bhūse kī tarah titar-bitar ho jāegā. Kyoṅki achānak, ek hī lamhe meṅ 6 Rabbul-afwāj un par ṭūṭ paṛegā. Wuh bijlī kī kaṛaktī āwāzeṅ, zalzalā, baṛā shor, tez āṅdhī, tūfān aur bhasm karne wālī āg ke shole apne sāth le kar shahr kī madad karne āegā. 7 Tab Ariyel se laṛne wālī tamām qaumoṅ ke ġhol ḳhāb jaise lageṅge. Jo Yarūshalam par hamlā karke us kā muhāsarā kar rahe aur use tang kar rahe the wuh rāt meṅ royā jaise ġhairhaqīqī lageṅge. 8 Tumhāre dushman us bhūke ādmī kī mānind hoṅge jo ḳhāb meṅ deḳhtā hai ki maiṅ khānā khā rahā hūṅ, lekin phir jāg kar jān letā hai ki maiṅ waise kā waisā bhūkā hūṅ. Tumhāre muḳhālif us pyāse ādmī kī mānind hoṅge jo ḳhāb meṅ deḳhtā hai ki maiṅ pānī pī rahā hūṅ, lekin phir jāg kar jān letā hai ki maiṅ waise kā waisā niḍhāl aur pyāsā hūṅ. Yihī un tamām bainul-aqwāmī ġholoṅ kā hāl hogā jo Koh-e-Siyyūn se jang kareṅge.

Allāh kā Kalām Qaum kī Samajh se Bāhar Hai
9 Hairatzadā ho kar hakkā-bakkā rah jāo! Andhe ho kar nābīnā ho jāo! Matwāle ho jāo, lekin mai se nahīṅ. Laṛkhaṛāte jāo, lekin sharāb se nahīṅ. 10 Kyoṅki Rab ne tumheṅ gahrī nīnd sulā diyā hai, us ne tumhārī āṅkhoṅ yānī nabiyoṅ ko band kiyā aur tumhāre saroṅ yānī royā deḳhne wāloṅ par pardā ḍāl diyā hai.

11 Is lie jo bhī kalām nāzil huā hai wuh tumhāre lie sar bamuhr kitāb hī hai. Agar use kisī paṛhe-likhe ādmī ko diyā jāe tāki paṛhe to wuh jawāb degā, “Yih paṛhā nahīṅ jā saktā, kyoṅki is par muhr hai.” 12 Aur agar use kisī anpaṛh ādmī ko diyā jāe to wuh kahegā, “Maiṅ anpaṛh hūṅ.”

13 Rab farmātā hai, “Yih qaum mere huzūr ā kar apnī zabān aur hoṅṭoṅ se to merā ehtirām kartī hai, lekin us kā dil mujh se dūr hai. Un kī ḳhudātarsī sirf insān hī ke raṭe-raṭāe ahkām par mabnī hai. 14 Is lie āindā bhī merā is qaum ke sāth sulūk hairatangez hogā. Hāṅ, merā sulūk ajīb-o-ġharīb hogā. Tab us ke dānishmandoṅ kī dānish jātī rahegī, aur us ke samajhdāroṅ kī samajh ġhāyb ho jāegī.”

15 Un par afsos jo apnā mansūbā zamīn kī gahrāiyoṅ meṅ dabā kar Rab se chhupāne kī koshish karte haiṅ, jo tārīkī meṅ apne kām karke kahte haiṅ, “Kaun hameṅ dekh legā, kaun hameṅ pahchān legā?” 16 Tumhārī kajrawī par lānat! Kyā kumhār ko us ke gāre ke barābar samjhā jātā hai? Kyā banī huī chīz banāne wāle ke bāre meṅ kahtī hai, “Us ne mujhe nahīṅ banāyā”? Yā kyā jis ko tashkīl diyā gayā hai wuh tashkīl dene wāle ke bāre meṅ kahtā hai, “Wuh kuchh nahīṅ samajhtā”? Hargiz nahīṅ!

Baṛī Tabdīliyāṅ Āne Wālī Haiṅ
17 Thoṛī hī der ke bād Lubnān kā jangal phalte-phūlte bāġh meṅ tabdīl hogā jabki phaltā-phūltā bāġh jangal-sā lagegā. 18 Us din bahre kitāb kī tilāwat suneṅge, aur andhoṅ kī āṅkheṅ andhere aur tārīkī meṅ se nikal kar dekh sakeṅgī. 19 Ek bār phir farotan Rab kī ḳhushī manāeṅge, aur muhtāj Isrāīl ke Quddūs ke bāis shādiyānā bajāeṅge. 20 Zālim kā nām-o-nishān nahīṅ rahegā, tānāzan ḳhatm ho jāeṅge, aur dūsroṅ kī tāk meṅ baiṭhne wāle sab ke sab rū-e-zamīn par se miṭ jāeṅge. 21 Yihī un kā anjām hogā jo adālat meṅ dūsroṅ ko qusūrwār ṭhahrāte, shahr ke darwāze meṅ adālat karne wāle qāzī ko phaṅsāne kī koshish karte aur jhūṭī gawāhiyoṅ se bequsūr kā haq mārte haiṅ.

22 Chunāṅche Rab jis ne pahle Ibrāhīm kā bhī fidyā de kar use chhuṛāyā thā Yāqūb ke gharāne se farmātā hai, “Ab se Yāqūb sharmindā nahīṅ hogā, ab se Isrāīliyoṅ kā rang faq nahīṅ paṛ jāegā. 23 Jab wuh apne darmiyān apne bachchoṅ ko jo mere hāthoṅ kā kām haiṅ dekheṅge to wuh mere nām ko muqaddas māneṅge. Wuh Yāqūb ke Quddūs ko muqaddas jāneṅge aur Isrāīl ke Ḳhudā kā ḳhauf māneṅge. 24 Us waqt jin kī rūh āwārā hai wuh samajh hāsil kareṅge, aur buṛbuṛāne wāle tālīm qabūl kareṅge.”

<- Yasāyāh 28Yasāyāh 30 ->