4 Ab merā ġhussā ṭhanḍā ho gayā hai. Lekin agar bāġh meṅ ūṅṭkaṭāre aur ḳhārdār jhāṛiyāṅ mil jāeṅ to maiṅ un se nipaṭ lūṅgā, maiṅ un se jang karke sab ko jalā dūṅgā. 5 Lekin agar wuh mān jāeṅ to mere pās ā kar panāh leṅ. Wuh mere sāth sulah kareṅ, hāṅ mere sāth sulah kareṅ.”
9 Is tarah Yāqūb ke qusūr kā kaffārā diyā jāegā. Aur jab Isrāīl kā gunāh dūr ho jāegā to natīje meṅ wuh tamām ġhalat qurbāngāhoṅ ko chūne ke pattharoṅ kī tarah chaknāchūr karegā. Na Yasīrat Dewī ke khambe, na baḳhūr jalāne kī ġhalat qurbāngāheṅ khaṛī raheṅgī. 10 Kyoṅki qilāband shahr tanhā rah gayā hai. Logoṅ ne use wīrān chhoṛ kar registān kī tarah tark kar diyā hai. Ab se us meṅ bachhṛe hī chareṅge. Wuhī us kī galiyoṅ meṅ ārām karke us kī ṭahniyoṅ ko chabā leṅge. 11 Tab us kī shāḳheṅ sūkh jāeṅgī aur aurateṅ unheṅ toṛ toṛ kar jalāeṅgī. Kyoṅki yih qaum samajh se ḳhālī hai, lihāzā us kā Ḳhāliq us par tars nahīṅ khāegā, jis ne use tashkīl diyā wuh us par mehrbānī nahīṅ karegā.
12 Us din tum Isrāīlī ġhallā jaise hoge, aur Rab tumhārī bāliyoṅ ko Dariyā-e-Furāt se le kar Misr kī shimālī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr tak kāṭegā. Phir wuh tumheṅ gāh kar dānā badānā tamām ġhallā ikaṭṭhā karegā. 13 Us din narsingā buland āwāz se bajegā. Tab Asūr meṅ tabāh hone wāle aur Misr meṅ bhagāe hue log wāpas ā kar Yarūshalam ke muqaddas pahāṛ par Rab ko sijdā kareṅge.
<- Yasāyāh 26Yasāyāh 28 ->