6 Isī lie zamīn lānat kā luqmā ban gaī hai, us par basne wāle apnī sazā bhugat rahe haiṅ. Isī lie duniyā ke bāshinde bhasm ho rahe haiṅ aur kam hī bāqī rah gae haiṅ. 7 Angūr kā tāzā ras sūkh kar ḳhatm ho rahā, angūr kī beleṅ murjhā rahī haiṅ. Jo pahle ḳhushbāsh the wuh āheṅ bharne lage haiṅ. 8 Dafoṅ kī ḳhushkun āwāzeṅ band, rangraliyāṅ manāne wāloṅ kā shor band, sarodoṅ ke surīle naġhme band ho gae haiṅ. 9 Ab log gīt gā gā kar mai nahīṅ pīte balki sharāb unheṅ kaṛwī hī lagtī hai. 10 Wīrān-o-sunsān shahr tabāh ho gayā hai, har ghar ke darwāze par kunḍī lagī hai tāki andar ghusne wāloṅ se mahfūz rahe. 11 Galiyoṅ meṅ log giryā-o-zārī kar rahe haiṅ ki mai ḳhatm hai. Har ḳhushī dūr ho gaī hai, har shādmānī zamīn se ġhāyb hai. 12 Shahr meṅ malbe ke ḍher hī rah gae haiṅ, us ke darwāze ṭukṛe ṭukṛe ho gae haiṅ.
13 Kyoṅki mulk ke darmiyān aur aqwām ke bīch meṅ yihī sūrat-e-hāl hogī ki chand ek hī bach pāeṅge, bilkul un do chār zaitūnoṅ kī mānind jo daraḳht ko jhāṛne ke bāwujūd us par rah jāte haiṅ, yā un do chār angūroṅ kī tarah jo fasal chunane ke bāwujūd beloṅ par lage rahte haiṅ. 14 Lekin yih chand ek hī pukār kar ḳhushī ke nāre lagāeṅge. Maġhrib se wuh Rab kī azmat kī satāish kareṅge. 15 Chunāṅche mashriq meṅ Rab ko jalāl do, jazīroṅ meṅ Isrāīl ke Ḳhudā ke nām kī tāzīm karo. 16 Hameṅ duniyā kī intahā se gīt sunāī de rahe haiṅ, “Rāst Ḳhudā kī tārīf ho!”
21 Us din Rab āsmān ke lashkar aur zamīn ke bādshāhoṅ se jawāb talab karegā. 22 Tab wuh giriftār ho kar gaṛhe meṅ jamā hoṅge, unheṅ qaidḳhāne meṅ ḍāl kar muta'addid dinoṅ ke bād sazā milegī. 23 Us waqt chāṅd nādim hogā aur sūraj sharm khāegā, kyoṅki Rabbul-afwāj Koh-e-Siyyūn par taḳhtnashīn hogā. Wahāṅ Yarūshalam meṅ wuh baṛī shān-o-shaukat ke sāth apne buzurgoṅ ke sāmne hukūmat karegā.
<- Yasāyāh 23Yasāyāh 25 ->