4 Is lie maiṅ ne kahā, “Apnā muṅh mujh se pher kar mujhe zār zār rone do. Mujhe tasallī dene par bazid na raho jabki merī qaum tabāh ho rahī hai.” 5 Kyoṅki Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj royā kī Wādī par haulnāk din lāyā hai. Har taraf ghabrāhaṭ, kuchle hue log aur abtarī nazar ātī hai. Shahr kī chārdīwārī ṭūṭne lagī hai, pahāṛoṅ meṅ chīḳheṅ gūṅj rahī haiṅ.
6 Ailām ke faujī apne tarkash uṭhā kar rathoṅ, ādmiyoṅ aur ghoṛoṅ ke sāth ā gae haiṅ. Qīr ke mard bhī apnī ḍhāleṅ ġhilāf se nikāl kar tujh se laṛne ke lie nikal āe haiṅ. 7 Yarūshalam ke gird-o-nawāh kī behtarīn wādiyāṅ dushman ke rathoṅ se bhar gaī haiṅ, aur us ke ghuṛsawār shahr ke darwāze par hamlā karne ke lie us ke sāmne khaṛe ho gae haiṅ. 8 Jo bhī band-o-bast Yahūdāh ne apne tahaffuz ke lie kar liyā thā wuh ḳhatm ho gayā hai.
12 Us waqt Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj ne hukm diyā ki giryā-o-zārī karo, apne bāloṅ ko munḍwā kar ṭāṭ kā libās pahan lo. 13 Lekin kyā huā? Tamām log shādiyānā bajā kar ḳhushī manā rahe haiṅ. Har taraf bailoṅ aur bheṛ-bakriyoṅ ko zabah kiyā jā rahā hai. Sab gosht aur mai se lutfandoz ho kar kah rahe haiṅ, “Āo, ham khāeṅ pieṅ, kyoṅki kal to mar hī jānā hai.”
14 Lekin Rabbul-afwāj ne merī maujūdagī meṅ hī zāhir kiyā hai ki yaqīnan yih qusūr tumhāre marte dam tak muāf nahīṅ kiyā jāegā. [a] Yih Qādir-e-mutlaq Rabbul-afwāj kā farmān hai.
20 Us din maiṅ apne ḳhādim Iliyāqīm bin Ḳhilqiyāh ko bulāūṅgā. 21 Maiṅ use terā hī sarkārī libās aur kamarband pahnā kar terā iḳhtiyār use de dūṅgā. Us waqt wuh Yahūdāh ke gharāne aur Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ kā bāp banegā. 22 Maiṅ us ke kandhe par Dāūd ke gharāne kī chābī rakh dūṅgā. Jo darwāzā wuh kholegā use koī band nahīṅ kar sakegā, aur jo darwāzā wuh band karegā use koī khol nahīṅ sakegā. 23 Wuh khūṅṭī kī mānind hogā jis ko maiṅ zor se ṭhoṅk kar mazbūt dīwār meṅ lagā dūṅgā. Us se us ke bāp ke gharāne ko sharāfat kā ūṅchā maqām hāsil hogā.
24 Lekin phir ābāī gharāne kā pūrā bojh us ke sāth laṭak jāegā. Tamām aulād aur rishtedār, tamām chhoṭe bartan pyāloṅ se le kar martabānoṅ tak us ke sāth laṭak jāeṅge. 25 Rabbul-afwāj farmātā hai ki us waqt mazbūt dīwār meṅ lagī yih khūṅṭī nikal jāegī. Use toṛā jāegā to wuh gir jāegī, aur us ke sāth laṭkā sārā sāmān ṭūṭ jāegā.’ ” Yih Rab kā farmān hai.
<- Yasāyāh 21Yasāyāh 23 ->- a Lafzī tarjumā: Yaqīnan is qusūr kā kaffārā tumhāre marte dam tak nahīṅ diyā jāegā.