3 Is lie merī kamr shiddat se larazne lagī hai. Dard-e-zah meṅ mubtalā aurat kī-sī ghabrāhaṭ merī antaṛiyoṅ ko maroṛ rahī hai. Jo kuchh maiṅ ne sunā hai us se maiṅ taṛap uṭhā hūṅ, aur jo kuchh maiṅ ne dekhā hai, us se maiṅ hawāsbāḳhtā ho gayā hūṅ. 4 Merā dil dhaṛak rahā hai, kapkapī mujh par tārī ho gaī hai. Pahle shām kā dhundalkā mujhe pyārā lagtā thā, lekin ab royā ko dekh kar wuh mere lie dahshat kā bāis ban gayā hai.
5 Tāham Bābal meṅ log mez lagā kar qālīn bichhā rahe haiṅ. Beparwāī se wuh khānā khā rahe aur mai pī rahe haiṅ. Ai afsaro, uṭho! Apnī ḍhāloṅ par tel lagā kar laṛne ke lie taiyār ho jāo!
6 Rab ne mujhe hukm diyā, “Jā kar pahredār khaṛā kar de jo tujhe har nazar āne wālī chīz kī ittalā de. 7 Jyoṅ hī do ghoṛoṅ wāle rath yā gadhoṅ aur ūṅṭoṅ par sawār ādmī dikhāī deṅ to ḳhabardār! Pahredār pūrī tawajjuh de.”
8 Tab pahredār sherbabar kī tarah pukār uṭhā, “Mere āqā, roz baroz maiṅ pūrī wafādārī se apnī burjī par khaṛā rahā hūṅ, aur rātoṅ maiṅ taiyār rah kar yahāṅ pahrādārī kartā āyā hūṅ. 9 Ab wuh dekho! Do ghoṛoṅ wālā rath ā rahā hai jis par ādmī sawār hai. Ab wuh jawāb meṅ kah rahā hai, ‘Bābal gir gayā, wuh gir gayā hai! Us ke tamām but chaknāchūr ho kar zamīn par bikhar gae haiṅ.’ ”
10 Ai gāhne kī jagah par kuchlī huī [b] merī qaum! Jo kuchh Isrāīl ke Ḳhudā, Rabbul-afwāj ne mujhe farmāyā hai use maiṅ ne tumheṅ sunā diyā hai.
16 Kyoṅki Rab ne mujh se farmāyā, “Ek sāl ke andar andar [e] Qīdār kī tamām shān-o-shaukat ḳhatm ho jāegī. 17 Qīdār ke zabardast tīrandāzoṅ meṅ se thoṛe hī bach pāeṅge.” Yih Rab, Isrāīl ke Ḳhudā kā farmān hai.
<- Yasāyāh 20Yasāyāh 22 ->