4 “Us din Yāqūb kī shān-o-shaukat kam aur us kā moṭā-tāzā jism lāġhar hotā jāegā. 5 Fasal kī kaṭāī kī-sī hālat hogī. Jis tarah kāṭne wālā ek hāth se gandum ke ḍanṭhal ko pakaṛ kar dūsre se bāloṅ ko kāṭtā hai usī tarah Isrāīliyoṅ ko kāṭā jāegā. Aur jis tarah Wādī-e-Rafāīm meṅ ġharīb log fasal kāṭne wāloṅ ke pīchhe pīchhe chal kar bachī huī bāliyoṅ ko chunte haiṅ usī tarah Isrāīl ke bache huoṅ ko chunā jāegā. 6 Tāham kuchh na kuchh bachā rahegā, un do chār zaitūnoṅ kī tarah jo chunte waqt daraḳht kī choṭī par rah jāte haiṅ. Daraḳht ko ḍanḍe se jhāṛne ke bāwujūd kahīṅ na kahīṅ chand ek lage raheṅge.” Yih hai Rab, Isrāīl ke Ḳhudā kā farmān.
7 Tab insān apnī nazar apne Ḳhāliq kī taraf uṭhāegā, aur us kī āṅkheṅ Isrāīl ke Quddūs kī taraf dekheṅgī. 8 Āindā na wuh apne hāthoṅ se banī huī qurbāngāhoṅ ko takegā, na apnī ungliyoṅ se bane hue Yasīrat Dewī ke khamboṅ aur baḳhūr kī qurbāngāhoṅ par dhyān degā.
9 Us waqt Isrāīlī apne qilāband shahroṅ ko yoṅ chhoṛeṅge jis tarah Kanāniyoṅ ne apne jangloṅ aur pahāṛoṅ kī choṭiyoṅ ko Isrāīliyoṅ ke āge āge chhoṛā thā. Sab kuchh wīrān-o-sunsān hogā. 10 Afsos, tū apnī najāt ke Ḳhudā ko bhūl gayā hai. Tujhe wuh Chaṭṭān yād na rahī jis par tū panāh le saktā hai. Chunāṅche apne pyāre dewatāoṅ ke bāġh lagātā jā, aur un meṅ pardesī angūr kī qalameṅ lagātā jā. 11 Shāyad hī wuh lagāte waqt tezī se ugne lageṅ, shāyad hī un ke phūl usī subah khilne lageṅ. To bhī terī mehnat abas hai. Tū kabhī bhī un ke phal se lutfandoz nahīṅ hogā balki mahz bīmārī aur lā'ilāj dard kī fasal kāṭegā.