5 Merā dil Moāb ko dekh kar ro rahā hai. Us ke muhājirīn bhāg kar Zuġhar aur Ijlat-shalīshiyāh tak pahuṅch rahe haiṅ. Log ro ro kar Lūhīt kī taraf chaṛh rahe haiṅ, wuh Horonāym tak jāne wāle rāste par chalte hue apnī tabāhī par giryā-o-zārī kar rahe haiṅ. 6 Nimrīm kā pānī sūkh gayā hai, ghās jhulas gaī hai, tamām hariyālī ḳhatm ho gaī hai, sabzāzāroṅ kā nām-o-nishān tak nahīṅ rahā. 7 Is lie log apnā sārā jamāshudā sāmān sameṭ kar Wādī-e-safedā ko ubūr kar rahe haiṅ. 8 Chīḳheṅ Moāb kī hudūd tak gūṅj rahī haiṅ, hāy hāy kī āwāzeṅ Ijlāym aur Bair-elīm tak sunāī de rahī haiṅ. 9 Lekin go Dīmon kī nahar ḳhūn se surḳh ho gaī hai, tāham maiṅ us par mazīd musībat lāūṅgā. Maiṅ sherbabar bhejūṅgā jo un par bhī dhāwā boleṅge jo Moāb se bach nikle hoṅge aur un par bhī jo mulk meṅ pīchhe rah gae hoṅge.
<- Yasāyāh 14Yasāyāh 16 ->