9 Pātāl tere utarne ke bāis hil gayā hai. Tere intazār meṅ wuh murdā rūhoṅ ko harkat meṅ lā rahā hai. Wahāṅ duniyā ke tamām ra'īs aur aqwām ke tamām bādshāh apne taḳhtoṅ se khaṛe ho kar terā istiqbāl kareṅge. 10 Sab mil kar tujh se kaheṅge, ‘Ab tū bhī ham jaisā kamzor ho gayā hai, tū bhī hamāre barābar ho gayā hai!’ 11 Terī tamām shān-o-shaukat Pātāl meṅ utar gaī hai, tere sitār ḳhāmosh ho gae haiṅ. Ab kīṛe terā gaddā aur keṅchwe terā kambal hoṅge.
12 Ai sitārā-e-subah ai Ibn-e-sahar, tū āsmān se kis tarah gir gayā hai! Jis ne dīgar mamālik ko shikast dī thī wuh ab ḳhud pāsh pāsh ho gayā hai. 13 Dil meṅ tū ne kahā, ‘Maiṅ āsmān par chaṛh kar apnā taḳht Allāh ke sitāroṅ ke ūpar lagā lūṅgā, maiṅ intahāī shimāl meṅ us pahāṛ par jahāṅ dewatā jamā hote haiṅ taḳhtnashīn hūṅgā. 14 Maiṅ bādaloṅ kī bulandiyoṅ par chaṛh kar Qādir-e-mutlaq ke bilkul barābar ho jāūṅgā.’ 15 Lekin tujhe to Pātāl meṅ utārā jāegā, us ke sab se gahre gaṛhe meṅ girāyā jāegā.
16 Jo bhī tujh par nazar ḍālegā wuh ġhaur se dekh kar pūchhegā, ‘Kyā yihī wuh ādmī hai jis ne zamīn ko hilā diyā, jis ke sāmne dīgar mamālik kāṅp uṭhe? 17 Kyā isī ne duniyā ko wīrān kar diyā aur us ke shahroṅ ko ḍhā kar qaidiyoṅ ko ghar wāpas jāne kī ijāzat na dī?’
18 Dīgar mamālik ke tamām bādshāh baṛī izzat ke sāth apne apne maqbaroṅ meṅ paṛe hue haiṅ. 19 Lekin tujhe apnī qabr se dūr kisī bekār koṅpal kī tarah phaiṅk diyā jāegā. Tujhe maqtūloṅ se ḍhāṅkā jāegā, un se jin ko talwār se chhedā gayā hai, jo pathrīle gaṛhoṅ meṅ utar gae haiṅ. Tū pāṅwoṅ tale raundī huī lāsh jaisā hogā, 20 aur tadfīn ke waqt tū dīgar bādshāhoṅ se jā nahīṅ milegā. Kyoṅki tū ne apne mulk ko tabāh aur apnī qaum ko halāk kar diyā hai. Chunāṅche ab se abad tak in bedīnoṅ kī aulād kā zikr tak nahīṅ kiyā jāegā. 21 Is ādmī ke beṭoṅ ko phāṅsī dene kī jagah taiyār karo! Kyoṅki un ke bāpdādā kā qusūr itnā sangīn hai ki unheṅ marnā hī hai. Aisā na ho ki wuh dubārā uṭh kar duniyā par qabzā kar leṅ, ki rū-e-zamīn un ke shahroṅ se bhar jāe.”
29 Ai tamām Filistī mulk, is par ḳhushī mat manā ki hameṅ mārne wālī lāṭhī ṭūṭ gaī hai. Kyoṅki sāṅp kī bachī huī jaṛ se zahrīlā sāṅp phūṭ niklegā, aur us kā phal sholāfishāṅ uṛanazhdahā hogā. 30 Tab zarūratmandoṅ ko charāgāh milegī, aur ġharīb mahfūz jagah par ārām kareṅge. Lekin terī jaṛ ko maiṅ kāl se mār dūṅgā, aur jo bach jāeṅ unheṅ bhī halāk kar dūṅgā.
31 Ai shahr ke darwāze, wāwailā kar! Ai shahr, zor se chīḳheṅ mār! Ai filistiyo, himmat hār kar laṛkhaṛāte jāo. Kyoṅki shimāl se tumhārī taraf dhuāṅ baṛh rahā hai, aur us kī safoṅ meṅ pīchhe rahne wālā koī nahīṅ hai. 32 To phir hamāre pās bheje hue qāsidoṅ ko ham kyā jawāb deṅ? Yih ki Rab ne Siyyūn ko qāym rakhā hai, ki us kī qaum ke mazlūm usī meṅ panāh leṅge.
<- Yasāyāh 13Yasāyāh 15 ->