4 Lāzim hai ki sab ke sab izdiwājī zindagī kā ehtirām kareṅ. Shauhar aur bīwī ek dūsre ke wafādār raheṅ, kyoṅki Allāh zinākāroṅ aur shādī kā bandhan toṛne wāloṅ kī adālat karegā.
5 Āp kī zindagī paisoṅ ke lālach se āzād ho. Usī par iktifā kareṅ jo āp ke pās hai, kyoṅki Allāh ne farmāyā hai, “Maiṅ tujhe kabhī nahīṅ chhoṛūṅgā, maiṅ tujhe kabhī tark nahīṅ karūṅga.” 6 Is lie ham etamād se kah sakte haiṅ,
7 Apne rāhnumāoṅ ko yād rakheṅ jinhoṅ ne āp ko Allāh kā kalām sunāyā. Is par ġhaur kareṅ ki un ke chāl-chalan se kitnī bhalāī paidā huī hai, aur un ke īmān ke namūne par chaleṅ. 8 Īsā Masīh māzī meṅ, āj aur abad tak yaksāṅ hai. 9 Tarah tarah kī aur begānā tālīmāt āp ko idhar-udhar na bhaṭkāeṅ. Āp to Allāh ke fazl se taqwiyat pāte haiṅ aur is se nahīṅ ki āp muḳhtalif khānoṅ se parhez karte haiṅ. Is meṅ koī ḳhās fāydā nahīṅ hai.
10 Hamāre pās ek aisī qurbāngāh hai jis kī qurbānī khānā mulāqāt ke ḳhaime meṅ ḳhidmat karne wāloṅ ke lie manā hai. 11 Kyoṅki go imām-e-āzam jānwaroṅ kā ḳhūn gunāh kī qurbānī ke taur par Muqaddastarīn Kamre meṅ le jātā hai, lekin un kī lāshoṅ ko ḳhaimāgāh ke bāhar jalāyā jātā hai. 12 Is wajah se Īsā ko bhī shahr ke bāhar salībī maut sahnī paṛī tāki qaum ko apne ḳhūn se maḳhsūs-o-muqaddas kare. 13 Is lie āeṅ, ham ḳhaimāgāh se nikal kar us ke pās jāeṅ aur us kī be'izzatī meṅ sharīk ho jāeṅ. 14 Kyoṅki yahāṅ hamārā koī qāym rahne wālā shahr nahīṅ hai balki ham āne wāle shahr kī shadīd ārzū rakhte haiṅ. 15 Chunāṅche āeṅ, ham Īsā ke wasīle se Allāh ko hamd-o-sanā kī qurbānī pesh kareṅ, yānī hamāre hoṅṭoṅ se us ke nām kī tārīf karne wālā phal nikle. 16 Nīz, bhalāī karnā aur dūsroṅ ko apnī barakāt meṅ sharīk karnā mat bhūlnā, kyoṅki aisī qurbāniyāṅ Allāh ko pasand haiṅ.
17 Apne rāhnumāoṅ kī suneṅ aur un kī bāt māneṅ. Kyoṅki wuh āp kī dekh-bhāl karte karte jāgte rahte haiṅ, aur is meṅ wuh Allāh ke sāmne jawābdeh haiṅ. Un kī bāt māneṅ tāki wuh ḳhushī se apnī ḳhidmat saranjām deṅ. Warnā wuh karāhte karāhte apnī zimmedārī nibhāeṅge, aur yih āp ke lie mufīd nahīṅ hogā.
18 Hamāre lie duā kareṅ, go hameṅ yaqīn hai ki hamārā zamīr sāf hai aur ham har lihāz se achchhī zindagī guzārne ke ḳhāhishmand haiṅ.
19 Maiṅ ḳhāskar is par zor denā chāhtā hūṅ ki āp duā kareṅ ki Allāh mujhe āp ke pās jald wāpas āne kī taufīq baḳhshe.
24 Apne tamām rāhnumāoṅ aur tamām muqaddasīn ko merā salām kahnā. Iṭalī ke īmāndār āp ko salām kahte haiṅ.
25 Allāh kā fazl āp sab ke sāth rahe.
<- Ibrāniyoṅ 12