2 Ai Rab, maiṅ ne terā paiġhām sunā hai. Ai Rab, terā kām dekh kar maiṅ ḍar gayā hūṅ. Hamāre jīte-jī use wujūd meṅ lā, jald hī use ham par zāhir kar. Jab tujhe ham par ġhussā āe to apnā rahm yād kar.
4 Tab us kī shān sūraj kī tarah chamaktī, us ke hāth se tez kirneṅ nikaltī haiṅ jin meṅ us kī qudrat pinhāṅ hotī hai.
5 Mohlak bīmārī us ke āge āge phailtī, wabāī marz us ke naqsh-e-qadam par chaltā hai.
6 Jahāṅ bhī qadam uṭhāe, wahāṅ zamīn hil jātī, jahāṅ bhī nazar ḍāle wahāṅ aqwām laraz uṭhtī haiṅ. Tab qadīm pahāṛ phaṭ jāte, purānī pahāṛiyāṅ dabak jātī haiṅ. Us kī rāheṅ azal se aisī hī rahī haiṅ.
7 Maiṅ ne Kūshān ke ḳhaimoṅ ko musībat meṅ dekhā, Midiyān ke tambū kāṅp rahe the.
9 Tū ne apnī kamān ko nikāl liyā, terī lānateṅ tīroṅ kī tarah barasne lagī haiṅ. (Silāh) Tū zamīn ko phāṛ kar un jaghoṅ par dariyā bahne detā hai.
10 Tujhe dekh kar pahāṛ kāṅp uṭhte, mūslādhār bārish barasne lagtī aur pānī kī gahrāiyāṅ garajtī huī apne hāth āsmān kī taraf uṭhātī haiṅ.
11 Sūraj aur chāṅd apnī buland rihāishgāh meṅ ruk jāte haiṅ. Tere chamakte tīroṅ ke sāmne wuh māṅd paṛ jāte, tere nezoṅ kī jhilmilātī raushnī meṅ ojhal ho jāte haiṅ.
13 Tū apnī qaum ko rihā karne ke lie niklā, apne masah kie hue ḳhādim kī madad karne āyā hai. Tū ne bedīn kā ghar chhat se le kar buniyād tak girā diyā, ab kuchh nazar nahīṅ ātā. (Silāh)
14 Us ke apne nezoṅ se tū ne us ke sar ko chhed ḍālā. Pahle us ke daste kitnī ḳhushī se ham par ṭūṭ paṛe tāki hameṅ muntashir karke musībatzadā ko poshīdagī meṅ khā sakeṅ! Lekin ab wuh ḳhud bhūse kī tarah hawā meṅ uṛ gae haiṅ.
15 Tū ne apne ghoṛoṅ se samundar ko yoṅ kuchal diyā ki gahrā pānī jhāg nikālne lagā.
18 Tāham maiṅ Rab kī ḳhushī manāūṅgā, apne Najātdahindā Allāh ke bāis shādiyānā bajāūṅgā.
19 Rab Qādir-e-mutlaq merī quwwat hai. Wuhī mujhe hirnoṅ ke-se tezrau pāṅw muhaiyā kartā hai, wuhī mujhe bulandiyoṅ par se guzarne detā hai.