5 Rab ne dekhā ki insān nihāyat bigaṛ gayā hai, ki us ke tamām ḳhayālāt lagātār burāī kī taraf māyl rahte haiṅ. 6 Wuh pachhtāyā ki maiṅ ne insān ko banā kar duniyā meṅ rakh diyā hai, aur use saḳht dukh huā. 7 Us ne kahā, “Go maiṅ hī ne insān ko ḳhalaq kiyā maiṅ use rū-e-zamīn par se miṭā ḍālūṅgā. Maiṅ na sirf logoṅ ko balki zamīn par chalne-phirne aur reṅgne wāle jānwaroṅ aur hawā ke parindoṅ ko bhī halāk kar dūṅgā, kyoṅki maiṅ pachhtātā hūṅ ki maiṅ ne un ko banāyā.”
13 Tab Allāh ne Nūh se kahā, “Maiṅ ne tamām jāndāroṅ ko ḳhatm karne kā faislā kiyā hai, kyoṅki un ke sabab se pūrī duniyā zulm-o-tashaddud se bhar gaī hai. Chunāṅche maiṅ un ko zamīn samet tabāh kar dūṅgā. 14 Ab apne lie saro [a] kī lakaṛī kī kashtī banā le. Us meṅ kamre hoṅ aur use andar aur bāhar tārkol lagā. 15 Us kī lambāī 450 fuṭ, chauṛāī 75 fuṭ aur ūṅchāī 45 fuṭ ho. 16 Kashtī kī chhat ko yoṅ banānā ki us ke nīche 18 inch khulā rahe. Ek taraf darwāzā ho, aur us kī tīn manzileṅ hoṅ. 17 Maiṅ pānī kā itnā baṛā sailāb lāūṅgā ki wuh zamīn ke tamām jāndāroṅ ko halāk kar ḍālegā. Zamīn par sab kuchh fanā ho jāegā. 18 Lekin tere sāth maiṅ ahd bāndhūṅgā jis ke taht tū apne beṭoṅ, apnī bīwī aur bahuoṅ ke sāth kashtī meṅ jāegā. 19 Har qism ke jānwar kā ek nar aur ek mādā bhī apne sāth kashtī meṅ le jānā tāki wuh tere sāth jīte bacheṅ. 20 Har qism ke par rakhne wāle jānwar aur har qism ke zamīn par phirne yā reṅgne wāle jānwar do do ho kar tere pās āeṅge tāki jīte bach jāeṅ. 21 Jo bhī ḳhurāk darkār hai use apne aur un ke lie jamā karke kashtī meṅ mahfūz kar lenā.”
22 Nūh ne sab kuchh waisā hī kiyā jaisā Allāh ne use batāyā.
<- Paidāish 5Paidāish 7 ->- a Ibrānī lafz matrūk hai. Shāyad is kā matlab saro yā deodār kī lakaṛī ho.