5 Is ke bād Yāqūb Bair-sabā se rawānā huā. Us ke beṭoṅ ne use aur apne bāl-bachchoṅ ko un gāṛiyoṅ meṅ biṭhā diyā jo Misr ke bādshāh ne bhijwāī thīṅ. 6 Yoṅ Yāqūb aur us kī tamām aulād apne maweshī aur Kanān meṅ hāsil kiyā huā māl le kar Misr chale gae. 7 Yāqūb ke beṭe-beṭiyāṅ, pote-potiyāṅ aur bāqī aulād sab sāth gae.
8 Isrāīl kī aulād ke nām jo Misr chalī gaī yih haiṅ:
16 Jad ke beṭe Sifyān, Hajjī, Sūnī, Isbūn, Erī, Arūdī aur Arelī the. 17 Āshar ke beṭe Yimnā, Iswāh, Iswī aur Bariyā the. Āshar kī beṭī Sirah thī, aur Bariyā ke do beṭe the, Hibar aur Malkiyel. 18 Kul 16 afrād Zilfā kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Liyāh ko diyā thā.
19 Rāḳhil ke beṭe Yūsuf aur Binyamīn the. 20 Yūsuf ke do beṭe Manassī aur Ifrāīm Misr meṅ paidā hue. Un kī māṅ On ke pujārī Fotīfirā kī beṭī Āsanat thī. 21 Binyamīn ke beṭe Bālā, Bakar, Ashbel, Jīrā, Nāmān, Iḳhī, Ros, Muffīm, Huffīm aur Ard the. 22 Kul 14 mard Rāḳhil kī aulād the.
23 Dān kā beṭā Hushīm thā. 24 Naftālī ke beṭe Yahsiyel, Jūnī, Yisar aur Sillīm the. 25 Kul 7 mard Bilhāh kī aulād the jise Lāban ne apnī beṭī Rāḳhil ko diyā thā.
26 Yāqūb kī aulād ke 66 afrād us ke sāth Misr chale gae. Is tādād meṅ beṭoṅ kī bīwiyāṅ shāmil nahīṅ thīṅ. 27 Jab ham Yāqūb, Yūsuf aur us ke do beṭe in meṅ shāmil karte haiṅ to Yāqūb ke gharāne ke 70 afrād Misr gae.
31 Phir Yūsuf ne apne bhāiyoṅ aur apne bāp ke ḳhāndān ke bāqī afrād se kahā, “Zarūrī hai ki maiṅ jā kar bādshāh ko ittalā dūṅ ki mere bhāī aur mere bāp kā pūrā ḳhāndān jo Kanān ke rahne wāle haiṅ mere pās ā gae haiṅ. 32 Maiṅ us se kahūṅgā, ‘Yih ādmī bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe haiṅ. Wuh maweshī pālte haiṅ, is lie apnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur bāqī sārā māl apne sāth le āe haiṅ.’ 33 Bādshāh tumheṅ bulā kar pūchhegā ki tum kyā kām karte ho? 34 Phir tum ko jawāb denā hai, ‘Āp ke ḳhādim bachpan se maweshī pālte āe haiṅ. Yih hamāre bāpdādā kā peshā thā aur hamārā bhī hai.’ Agar tum yih kaho to tumheṅ Jushan meṅ rahne kī ijāzat milegī. Kyoṅki bheṛ-bakriyoṅ ke charwāhe Misriyoṅ kī nazar meṅ qābil-e-nafrat haiṅ.”
<- Paidāish 45Paidāish 47 ->