5 Ek rāt bādshāh ke sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ne ḳhāb dekhā. Donoṅ kā ḳhāb farq farq thā, aur un kā matlab bhī farq farq thā. 6 Jab Yūsuf subah ke waqt un ke pās āyā to wuh dabe hue nazar āe. 7 Us ne un se pūchhā, “Āj āp kyoṅ itne pareshān haiṅ?” 8 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham donoṅ ne ḳhāb dekhā hai, aur koī nahīṅ jo hameṅ un kā matlab batāe.” Yūsuf ne kahā, “Ḳhāboṅ kī tābīr to Allāh kā kām hai. Zarā mujhe apne ḳhāb to sunāeṅ.”
9 Sardār sāqī ne shurū kiyā, “Maiṅ ne ḳhāb meṅ apne sāmne angūr kī bel dekhī. 10 Us kī tīn shāḳheṅ thīṅ. Us ke patte lage, koṅpleṅ phūṭ niklīṅ aur angūr pak gae. 11 Mere hāth meṅ bādshāh kā pyālā thā, aur maiṅ ne angūroṅ ko toṛ kar yoṅ bhīṅch diyā ki un kā ras bādshāh ke pyāle meṅ ā gayā. Phir maiṅ ne pyālā bādshāh ko pesh kiyā.”
12 Yūsuf ne kahā, “Tīn shāḳhoṅ se murād tīn din haiṅ. 13 Tīn din ke bād Firaun āp ko bahāl kar legā. Āp ko pahlī zimmedārī wāpas mil jāegī. Āp pahle kī tarah sardār sāqī kī haisiyat se bādshāh kā pyālā saṅbhāleṅge. 14 Lekin jab āp bahāl ho jāeṅ to merā ḳhayāl kareṅ. Mehrbānī karke bādshāh ke sāmne merā zikr kareṅ tāki maiṅ yahāṅ se rihā ho jāūṅ. 15 Kyoṅki mujhe Ibrāniyoṅ ke mulk se aġhwā karke yahāṅ lāyā gayā hai, aur yahāṅ bhī mujh se koī aisī ġhaltī nahīṅ huī ki mujhe is gaṛhe meṅ phaiṅkā jātā.”
16 Jab shāhī bekarī ke inchārj ne dekhā ki sardār sāqī ke ḳhāb kā achchhā matlab niklā to us ne Yūsuf se kahā, “Merā ḳhāb bhī suneṅ. Maiṅ ne sar par tīn ṭokriyāṅ uṭhā rakhī thīṅ jo bekarī kī chīzoṅ se bharī huī thīṅ. 17 Sab se ūpar wālī ṭokrī meṅ wuh tamām chīzeṅ thīṅ jo bādshāh kī mez ke lie banāī jātī haiṅ. Lekin parinde ā kar unheṅ khā rahe the.”
18 Yūsuf ne kahā, “Tīn ṭokriyoṅ se murād tīn din haiṅ. 19 Tīn din ke bād hī Firaun āp ko qaidḳhāne se nikāl kar daraḳht se laṭkā degā. Parinde āp kī lāsh ko khā jāeṅge.”
20 Tīn din ke bād bādshāh kī sālgirah thī. Us ne apne tamām afsaroṅ kī ziyāfat kī. Is mauqe par us ne sardār sāqī aur bekarī ke inchārj ko jel se nikāl kar apne huzūr lāne kā hukm diyā. 21 Sardār sāqī ko pahle wālī zimmedārī sauṅp dī gaī, 22 lekin bekarī ke inchārj ko sazā-e-maut de kar daraḳht se laṭkā diyā gayā. Sab kuchh waisā hī huā jaisā Yūsuf ne kahā thā.
23 Lekin sardār sāqī ne Yūsuf kā ḳhayāl na kiyā balki use bhūl hī gayā.
<- Paidāish 39Paidāish 41 ->