6 Ibrāhīm ḳhaime kī taraf dauṛ kar Sārā ke pās āyā aur kahā, “Jaldī karo! 16 kilogrām behtarīn maidā le aur use gūṅdh kar roṭiyāṅ banā.” 7 Phir wuh bhāg kar bailoṅ ke pās pahuṅchā. Un meṅ se us ne ek moṭā-tāzā bachhṛā chun liyā jis kā gosht narm thā aur use apne naukar ko diyā jis ne jaldī se use taiyār kiyā. 8 Jab khānā taiyār thā to Ibrāhīm ne use le kar lassī aur dūdh ke sāth apne mehmānoṅ ke āge rakh diyā. Wuh khāne lage aur Ibrāhīm un ke sāmne daraḳht ke sāye meṅ khaṛā rahā.
9 Unhoṅ ne pūchhā, “Terī bīwī Sārā kahāṅ hai?” Us ne jawāb diyā, “Ḳhaime meṅ.” 10 Rab ne kahā, “Ain ek sāl ke bād maiṅ wāpas āūṅgā to terī bīwī Sārā ke beṭā hogā.”
13 Rab ne Ibrāhīm se pūchhā, “Sārā kyoṅ haṅs rahī hai? Wuh kyoṅ kah rahī hai, ‘Kyā wāqaī mere hāṅ bachchā paidā hogā jabki maiṅ itnī umrrasīdā hūṅ?’ 14 Kyā Rab ke lie koī kām nāmumkin hai? Ek sāl ke bād muqarrarā waqt par maiṅ wāpas āūṅgā to Sārā ke beṭā hogā.” 15 Sārā ḍar gaī. Us ne jhūṭ bol kar inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ haṅs rahī thī.”
20 Phir Rab ne kahā, “Sadūm aur Amūrā kī badī ke bāis logoṅ kī āheṅ buland ho rahī haiṅ, kyoṅki un se bahut sangīn gunāh sarzad ho rahe haiṅ. 21 Maiṅ utar kar un ke pās jā rahā hūṅ tāki dekhūṅ ki yih ilzām wāqaī sach haiṅ jo mujh tak pahuṅche haiṅ. Agar aisā nahīṅ hai to maiṅ yih jānanā chāhtā hūṅ.”
22 Dūsre do ādmī Sadūm kī taraf āge nikle jabki Rab kuchh der ke lie wahāṅ ṭhahrā rahā aur Ibrāhīm us ke sāmne khaṛā rahā. 23 Phir us ne qarīb ā kar us se bāt kī, “Kyā tū rāstbāzoṅ ko bhī sharīroṅ ke sāth tabāh kar degā? 24 Ho saktā hai ki shahr meṅ 50 rāstbāz hoṅ. Kyā tū phir bhī shahr ko barbād kar degā aur use un 50 ke sabab se muāf nahīṅ karegā? 25 Yih kaise ho saktā hai ki tū bequsūroṅ ko sharīroṅ ke sāth halāk kar de? Yih to nāmumkin hai ki tū nek aur sharīr logoṅ se ek jaisā sulūk kare. Kyā lāzim nahīṅ ki pūrī duniyā kā munsif insāf kare?”
26 Rab ne jawāb diyā, “Agar mujhe shahr meṅ 50 rāstbāz mil jāeṅ to un ke sabab se tamām ko muāf kar dūṅgā.”
27 Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai agarche maiṅ ḳhāk aur rākh hī hūṅ. 28 Lekin ho saktā hai ki sirf 45 rāstbāz us meṅ hoṅ. Kyā tū phir bhī un pāṅch logoṅ kī kamī ke sabab se pūre shahr ko tabāh karegā?” Us ne kahā, “Agar mujhe 45 bhī mil jāeṅ to use barbād nahīṅ karūṅga.”
29 Ibrāhīm ne apnī bāt jārī rakhī, “Aur agar sirf 40 nek log hoṅ to?” Rab ne kahā, “Maiṅ un 40 ke sabab se unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
30 Ibrāhīm ne kahā, “Rab ġhussā na kare ki maiṅ ek dafā aur bāt karūṅ. Shāyad wahāṅ sirf 30 hoṅ.” Us ne jawāb diyā, “Phir bhī unheṅ chhoṛ dūṅgā.”
31 Ibrāhīm ne kahā, “Maiṅ muāfī chāhtā hūṅ ki maiṅ ne Rab se bāt karne kī jurrat kī hai. Agar sirf 20 pāe jāeṅ?” Rab ne kahā, “Maiṅ 20 ke sabab se shahr ko barbād karne se bāz rahūṅgā.”
32 Ibrāhīm ne ek āḳhirī dafā bāt kī, “Rab ġhussā na kare agar maiṅ ek aur bār bāt karūṅ. Shāyad us meṅ sirf 10 pāe jāeṅ.” Rab ne kahā, “Maiṅ use un 10 logoṅ ke sabab se bhī barbād nahīṅ karūṅga.”
33 In bātoṅ ke bād Rab chalā gayā aur Ibrāhīm apne ghar ko lauṭ āyā.
<- Paidāish 17Paidāish 19 ->