8 Kūsh kā ek aur beṭā banām Namrūd thā. Wuh duniyā meṅ pahlā zabardast hākim thā. 9 Rab ke nazdīk wuh zabardast shikārī thā. Is lie āj bhī kisī achchhe shikārī ke bāre meṅ kahā jātā hai, “Wuh Namrūd kī mānind hai jo Rab ke nazdīk zabardast shikārī thā.” 10 Us kī saltanat ke pahle markaz Mulk-e-Sinār meṅ Bābal, Arak, Akkād aur Kalnā ke shahr the. 11 Us mulk se nikal kar wuh Asūr chalā gayā jahāṅ us ne Nīnwā, Rahobot-īr, Kalah 12 aur Rasan ke shahr tāmīr kie. Baṛā shahr Rasan Nīnwā aur Kalah ke darmiyān wāqe hai.
13 Misr in qaumoṅ kā bāp thā: Lūdī, Anāmī, Lihābī, Naftūhī, 14 Fatrūsī, Kaslūhī (jin se Filistī nikle) aur Kaftūrī.
15 Kanān kā pahlauṭhā Saidā thā. Kanān zail kī qaumoṅ kā bāp bhī thā: Hittī 16 Yabūsī, Amorī, Jirjāsī, 17 Hiwwī, Arqī, Sīnī, 18 Arwādī, Samārī aur Hamātī. Bād meṅ Kanānī qabīle itne phail gae 19 ki un kī hudūd shimāl meṅ Saidā se junūb kī taraf Jirār se ho kar Ġhazzā tak aur wahāṅ se mashriq kī taraf Sadūm, Amūrā, Admā aur Zaboīm se ho kar lasā tak thīṅ.
20 Yih sab Hām kī aulād haiṅ, jo un ke apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
22 Sim ke beṭe Ailām, Asūr, Arfaksad, Lūd aur Arām the.
23 Arām ke beṭe Ūz, Hūl, Jatar aur Mas the.
24 Arfaksad kā beṭā Silah aur Silah kā beṭā Ibar thā.
25 Ibar ke hāṅ do beṭe paidā hue. Ek kā nām Falaj yānī Taqsīm thā, kyoṅki un aiyām meṅ duniyā taqsīm huī. Falaj ke bhāī kā nām Yuqtān thā.
26 Yuqtān ke beṭe Almūdād, Salaf, Hasarmāwat, Irāḳh, 27 Hadūrām, Ūzāl, Diqlā, 28 Ūbāl, Abīmāel, Sabā, 29 Ofīr, Hawīlā aur Yūbāb the. Yih sab Yuqtān ke beṭe the. 30 Wuh Mesā se le kar Safār aur mashriqī pahāṛī ilāqe tak ābād the.
31 Yih sab Sim kī aulād haiṅ, jo apne apne qabīle, apnī apnī zabān, apne apne mulk aur apnī apnī qaum ke mutābiq darj haiṅ.
32 Yih sab Nūh ke beṭoṅ ke qabīle haiṅ, jo apnī nasloṅ aur qaumoṅ ke mutābiq darj kie gae haiṅ. Sailāb ke bād tamām qaumeṅ inhīṅ se nikal kar rū-e-zamīn par phail gaīṅ.
<- Paidāish 9Paidāish 11 ->