6 Ibrāhīm kī misāl leṅ. Us ne Allāh par bharosā kiyā aur is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā. 7 To phir āp ko jān lenā chāhie ki Ibrāhīm kī haqīqī aulād wuh log haiṅ jo īmān rakhte haiṅ. 8 Kalām-e-muqaddas ne is bāt kī peshgoī kī ki Allāh Ġhairyahūdiyoṅ ko īmān ke zariye rāstbāz qarār degā. Yoṅ us ne Ibrāhīm ko yih ḳhushḳhabrī sunāī, “Tamām qaumeṅ tujh se barkat pāeṅgī.” 9 Ibrāhīm īmān lāyā, is lie use barkat milī. Isī tarah sab ko īmān lāne par Ibrāhīm kī-sī barkat miltī hai.
10 Lekin jo bhī is par takiyā karte haiṅ ki hameṅ sharīat kī pairawī karne se rāstbāz qarār diyā jāegā un par Allāh kī lānat hai. Kyoṅki kalām-e-muqaddas farmātā hai, “Har ek par lānat jo Sharīat kī Kitāb kī tamām bāteṅ qāym na rakhe, na in par amal kare.” 11 Yih bāt to sāf hai ki Allāh kisī ko bhī sharīat kī pairawī karne kī binā par rāstbāz nahīṅ ṭhahrātā, kyoṅki kalām-e-muqaddas ke mutābiq rāstbāz īmān hī se jītā rahegā. 12 Īmān kī yih rāh sharīat kī rāh se bilkul farq hai jo kahtī hai, “Jo yoṅ karegā wuh jītā rahegā.”
13 Lekin Masīh ne hamārā fidyā de kar hameṅ sharīat kī lānat se āzād kar diyā hai. Yih us ne is tarah kiyā ki wuh hamārī ḳhātir ḳhud lānat banā. Kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Jise bhī daraḳht se laṭkāyā gayā hai us par Allāh kī lānat hai.” 14 Is kā maqsad yih thā ki jo barkat Ibrāhīm ko hāsil huī wuh Masīh ke wasīle se Ġhairyahūdiyoṅ ko bhī mile aur yoṅ ham īmān lā kar wādā kiyā huā Rūh pāeṅ.
19 To phir sharīat kā kyā maqsad thā? Use is lie wāde ke alāwā diyā gayā tāki logoṅ ke gunāhoṅ ko zāhir kare. Aur use us waqt tak qāym rahnā thā jab tak Ibrāhīm kī wuh aulād na ā jātī jis se wādā kiyā gayā thā. Allāh ne apnī sharīat farishtoṅ ke wasīle se Mūsā ko de dī jo Allāh aur logoṅ ke bīch meṅ darmiyānī rahā. 20 Ab darmiyānī us waqt zarūrī hotā hai jab ek se zyādā pārṭiyoṅ meṅ ittafāq karāne kī zarūrat hai. Lekin Allāh jo ek hī hai us ne darmiyānī istemāl na kiyā jab us ne Ibrāhīm se wādā kiyā.
23 Is se pahle ki īmān kī yih rāh dastyāb huī sharīat ne hameṅ qaid karke mahfūz rakhā thā. Is qaid meṅ ham us waqt tak rahe jab tak īmān kī rāh zāhir nahīṅ huī thī. 24 Yoṅ sharīat ko hamārī tarbiyat karne kī zimmedārī dī gaī. Use hameṅ Masīh tak pahuṅchānā thā tāki hameṅ īmān se rāstbāz qarār diyā jāe. 25 Ab chūṅki īmān kī rāh ā gaī hai is lie ham sharīat kī tarbiyat ke taht nahīṅ rahe.
26 Kyoṅki Masīh Īsā par īmān lāne se āp sab Allāh ke farzand ban gae haiṅ. 27 Āp meṅ se jitnoṅ ko Masīh meṅ baptismā diyā gayā unhoṅ ne Masīh ko pahan liyā. 28 Ab na Yahūdī rahā na Ġhairyahūdī, na ġhulām rahā na āzād, na mard rahā na aurat. Masīh Īsā meṅ āp sab ke sab ek haiṅ. 29 Shart yih hai ki āp Masīh ke hoṅ. Tab āp Ibrāhīm kī aulād aur un chīzoṅ ke wāris haiṅ jin kā wādā Allāh ne kiyā hai.
<- Galatiyoṅ 2Galatiyoṅ 4 ->