2-3 Fīnhās ke ḳhāndān kā Jairsom,
4 Pakhat-moāb ke ḳhāndān kā Ilīhuainī bin Zaraḳhiyāh 200 mardoṅ ke sāth,
5 Zattū ke ḳhāndān kā Sakaniyāh bin Yahziyel 300 mardoṅ ke sāth,
6 Adīn ke ḳhāndān kā Abad bin Yūnatan 50 mardoṅ ke sāth,
7 Ailām ke ḳhāndān kā Yasāyāh bin Ataliyāh 70 mardoṅ ke sāth,
8 Safatiyāh ke ḳhāndān kā Zabadiyāh bin Mīkāel 80 mardoṅ ke sāth,
9 Yoāb ke ḳhāndān kā Abadiyāh bin Yihiyel 218 mardoṅ ke sāth,
10 Bānī ke ḳhāndān kā Salūmīt bin Yūsifiyāh 160 mardoṅ ke sāth,
11 Babī ke ḳhāndān kā Zakariyāh bin Babī 28 mardoṅ ke sāth,
12 Azjād ke ḳhāndān kā Yūhanān bin Haqqātān 110 mardoṅ ke sāth,
13 Adūniqām ke ḳhāndān ke āḳhirī log Ilīfalat, Ya'iyel aur Samāyāh 60 mardoṅ ke sāth,
14 Bigwī kā ḳhāndān kā Ūtī aur Zabūd 70 mardoṅ ke sāth.
18 Allāh kā shafīq hāth ham par thā, is lie unhoṅ ne hameṅ Mahlī bin Lāwī bin Isrāīl ke ḳhāndān kā samajhdār ādmī Saribiyāh bhej diyā. Saribiyāh apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth pahuṅchā. Kul 18 mard the. 19 In ke alāwā Mirārī ke ḳhāndān ke Hasbiyāh aur Yasāyāh ko bhī un ke beṭoṅ aur bhāiyoṅ ke sāth hamāre pās bhejā gayā. Kul 20 mard the. 20 Un ke sāth Rab ke ghar ke 220 ḳhidmatgār the. In ke tamām nām nasabnāme meṅ darj the. Dāūd aur us ke mulāzimoṅ ne un ke bāpdādā ko Lāwiyoṅ kī ḳhidmat karne kī zimmedārī dī thī.
24 Phir maiṅ ne imāmoṅ ke 12 rāhnumāoṅ ko chun liyā, nīz Saribiyāh, Hasbiyāh aur mazīd 10 Lāwiyoṅ ko. 25 Un kī maujūdagī meṅ maiṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī tamām sāmān tol liyā jo shahanshāh, us ke mushīroṅ aur afsaroṅ aur wahāṅ ke tamām Isrāīliyoṅ ne hamāre Ḳhudā ke ghar ke lie atā kiyā thā.
26 Maiṅ ne tol kar zail kā sāmān un ke hawāle kar diyā: taqrīban 22,000 kilogrām chāṅdī, chāṅdī kā kuchh sāmān jis kā kul wazn takrīban 3,400 kilogrām thā, 3,400 kilogrām sonā, 27 sone ke 20 pyāle jin kā kul wazn taqrīban sāṛhe 8 kilogrām thā, aur pītal ke do pālish kie hue pyāle jo sone ke pyāloṅ jaise qīmtī the.
28 Maiṅ ne ādmiyoṅ se kahā, “Āp aur yih tamām chīzeṅ Rab ke lie maḳhsūs haiṅ. Logoṅ ne apnī ḳhushī se yih sonā-chāṅdī Rab āp ke bāpdādā ke Ḳhudā ke lie qurbān kī hai. 29 Sab kuchh ehtiyāt se mahfūz rakheṅ, aur jab āp Yarūshalam pahuṅcheṅge to ise Rab ke ghar ke ḳhazāne tak pahuṅchā kar rāhnumā imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur ḳhāndānī sarparastoṅ kī maujūdagī meṅ dubārā tolnā.”
30 Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ne sonā-chāṅdī aur bāqī sāmān le kar use Yarūshalam meṅ hamāre Ḳhudā ke ghar meṅ pahuṅchāne ke lie mahfūz rakhā.
35 Is ke bād jilāwatanī se wāpas āe hue tamām logoṅ ne Isrāīl ke Ḳhudā ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kīṅ. Is nāte se unhoṅ ne pūre Isrāīl ke lie 12 bail, 96 menḍhe, bheṛ ke 77 bachche aur gunāh kī qurbānī ke 12 bakre qurbān kie.
36 Musāfiroṅ ne Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnaroṅ aur hākimoṅ ko shahanshāh kī hidāyāt pahuṅchāīṅ. In ko paṛh kar unhoṅ ne Isrāīlī qaum aur Allāh ke ghar kī himāyat kī.
<- Azrā 7Azrā 9 ->- a 19 Aprail.