3 “Ḳhoras Bādshāh kī hukūmat ke pahle sāl meṅ shahanshāh ne hukm diyā ki Yarūshalam meṅ Allāh ke ghar ko us kī purānī jagah par nae sire se tāmīr kiyā jāe tāki wahāṅ dubārā qurbāniyāṅ pesh kī jā sakeṅ. Us kī buniyād rakhne ke bād us kī ūṅchāī 90 aur chauṛāī 90 fuṭ ho. 4 Dīwāroṅ ko yoṅ banāyā jāe ki tarāshe hue pattharoṅ ke har tīn raddoṅ ke bād deodār ke shahtīroṅ kā ek raddā lagāyā jāe. Aḳhrājāt shāhī ḳhazāne se pūre kie jāeṅ. 5 Nīz sone-chāṅdī kī jo chīzeṅ Nabūkadnazzar Yarūshalam ke is ghar se nikāl kar Bābal lāyā wuh wāpas pahuṅchāī jāeṅ. Har chīz Allāh ke ghar meṅ us kī apnī jagah par wāpas rakh dī jāe.”
6 Yih ḳhabar paṛh kar Dārā ne Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe ke gawarnar Tattanī, Shatar-boznī aur un ke hamḳhidmat afsaroṅ ko zail kā jawāb bhej diyā,
8 Na sirf yih balki maiṅ hukm detā hūṅ ki āp is kām meṅ buzurgoṅ kī madad kareṅ. Tāmīr ke tamām aḳhrājāt waqt par muhaiyā kareṅ tāki kām na ruke. Yih paise shāhī ḳhazāne yānī Dariyā-e-Furāt ke maġhribī ilāqe se jamā kie gae ṭaiksoṅ meṅ se adā kie jāeṅ. 9 Roz baroz imāmoṅ ko bhasm hone wālī qurbāniyoṅ ke lie darkār tamām chīzeṅ muhaiyā karte raheṅ, ḳhāh wuh jawān bail, menḍhe, bheṛ ke bachche, gandum, namak, mai yā zaitūn kā tel kyoṅ na māṅgeṅ. Is meṅ sustī na kareṅ 10 tāki wuh āsmān ke Ḳhudā ko pasandīdā qurbāniyāṅ pesh karke shahanshāh aur us ke beṭoṅ kī salāmatī ke lie duā kar sakeṅ.
11 Is ke alāwā maiṅ hukm detā hūṅ ki jo bhī is farmān kī ḳhilāfwarzī kare us ke ghar se shahtīr nikāl kar khaṛā kiyā jāe aur use us par maslūb kiyā jāe. Sāth sāth us ke ghar ko malbe kā ḍher banāyā jāe. 12 Jis Ḳhudā ne wahāṅ apnā nām basāyā hai wuh har bādshāh aur qaum ko halāk kare jo mere is hukm kī ḳhilāfwarzī karke Yarūshalam ke ghar ko tabāh karne kī jurrat kare. Maiṅ, Dārā ne yih hukm diyā hai. Ise har tarah se pūrā kiyā jāe.”
15 Rab kā ghar Dārā Bādshāh kī hukūmat ke chhaṭe sāl meṅ takmīl tak pahuṅchā. Adār ke mahīne kā tīsrā din [a] thā. 16 Isrāīliyoṅ ne imāmoṅ, Lāwiyoṅ aur jilāwatanī se wāpas āe hue Isrāīliyoṅ samet baṛī ḳhushī se Rab ke Ghar kī Maḳhsūsiyat kī Īd manāī. 17 Unhoṅ ne 100 bail, 200 menḍhe aur bheṛ ke 400 bachche qurbān kie. Pūre Isrāīl ke lie gunāh kī qurbānī bhī pesh kī gaī, aur is ke lie fī qabīlā ek bakrā yānī mil kar 12 bakre chaṛhāe gae. 18 Phir imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko Rab ke ghar kī ḳhidmat ke muḳhtalif gurohoṅ meṅ taqsīm kiyā gayā, jis tarah Mūsā kī sharīat hidāyat detī hai.