5 Us waqt se imām bhasm hone wālī tamām darkār qurbāniyāṅ bāqāydagī se pesh karne lage, nīz Nae Chāṅd kī Īdoṅ aur Rab kī bāqī maḳhsūs-o-muqaddas īdoṅ kī qurbāniyāṅ. Qaum apnī ḳhushī se bhī Rab ko qurbāniyāṅ pesh kartī thī. 6 Go Rab ke ghar kī buniyād abhī ḍālī nahīṅ gaī thī to bhī Isrāīlī sātweṅ mahīne ke pahle din se Rab ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh karne lage. 7 Phir unhoṅ ne rājoṅ aur kārīgaroṅ ko paise de kar kām par lagāyā aur Sūr aur Saidā ke bāshindoṅ se deodār kī lakaṛī mangwāī. Yih lakaṛī Lubnān ke pahāṛī ilāqe se samundar tak lāī gaī aur wahāṅ se samundar ke rāste Yāfā pahuṅchāī gaī. Isrāīliyoṅ ne muāwaze meṅ khāne-pīne kī chīzeṅ aur zaitūn kā tel de diyā. Fāras ke bādshāh Ḳhoras ne unheṅ yih karwāne kī ijāzat dī thī.
9 Zail ke log mil kar Rab kā ghar banāne wāloṅ kī nigarānī karte the: Yashua apne beṭoṅ aur bhāiyoṅ samet, Qadmiyel aur us ke beṭe jo Hūdāwiyāh kī aulād the aur Hanadād ke ḳhāndān ke Lāwī.
10 Rab ke ghar kī buniyād rakhte waqt imām apne muqaddas libās pahne hue sāth khaṛe ho gae aur turam bajāne lage. Āsaf ke ḳhāndān ke Lāwī sāth sāth jhāṅjh bajāne aur Rab kī satāish karne lage. Sab kuchh Isrāīl ke bādshāh Dāūd kī hidāyāt ke mutābiq huā. 11 Wuh hamd-o-sanā ke gīt se Rab kī tārīf karne lage, “Wuh bhalā hai, aur Isrāīl par us kī shafqat abadī hai!” Jab hāzirīn ne dekhā ki Rab ke ghar kī buniyād rakhī jā rahī hai to sab Rab kī ḳhushī meṅ zordār nāre lagāne lage.
12 Lekin bahut-se imām, Lāwī aur ḳhāndānī sarparast hāzir the jinhoṅ ne Rab kā pahlā ghar dekhā huā thā. Jab un ke deḳhte deḳhte Rab ke nae ghar kī buniyād rakhī gaī to wuh buland āwāz se rone lage jabki bāqī bahut sāre log ḳhushī ke nāre lagā rahe the. 13 Itnā shor thā ki ḳhushī ke nāroṅ aur rone kī āwāzoṅ meṅ imtiyāz na kiyā jā sakā. Shor dūr dūr tak sunāī diyā.
<- Azrā 2Azrā 4 ->