4 Sabat ke din hukmrān chhih beaib bheṛ ke bachche aur ek beaib menḍhā chun kar Rab ko bhasm hone wālī qurbānī ke taur par pesh kare. 5 Wuh har menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kare yānī 16 kilogrām maidā aur 4 liṭar zaitūn kā tel. Har bheṛ ke bachche ke sāth wuh utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe. 6 Nae chāṅd ke din wuh ek jawān bail, chhih bheṛ ke bachche aur ek menḍhā pesh kare. Sab beaib hoṅ. 7 Jawān bail aur menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar bhī pesh kī jāe. Ġhallā kī yih nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. Wuh har bheṛ ke bachche ke sāth utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe.
8 Hukmrān andarūnī mashriqī darwāze meṅ bairūnī sahan se ho kar dāḳhil ho, aur wuh isī rāste se nikle bhī. 9 Jab bāqī Isrāīlī kisī īd par Rab ko sijdā karne āeṅ to jo shimālī darwāze se bairūnī sahan meṅ dāḳhil hoṅ wuh ibādat ke bād junūbī darwāze se nikleṅ, aur jo junūbī darwāze se dāḳhil hoṅ wuh shimālī darwāze se nikleṅ. Koī us darwāze se na nikle jis meṅ se wuh dāḳhil huā balki muqābil ke darwāze se. 10 Hukmrān us waqt sahan meṅ dāḳhil ho jab bāqī Isrāīlī dāḳhil ho rahe hoṅ, aur wuh us waqt rawānā ho jab bāqī Isrāīlī rawānā ho jāeṅ.
11 Īdoṅ aur muqarrarā tahwāroṅ par bail aur menḍhe ke sāth ġhallā kī nazar pesh kī jāe. Ġhallā kī yih nazar 16 kilogrām maide aur 4 liṭar zaitūn ke tel par mushtamil ho. Hukmrān bheṛ ke bachchoṅ ke sāth utnā hī ġhallā de jitnā jī chāhe.
12 Jab hukmrān apnī ḳhushī se mujhe qurbānī pesh karnā chāhe ḳhāh bhasm hone wālī yā salāmatī kī qurbānī ho, to us ke lie andarūnī darwāze kā mashriqī darwāzā kholā jāe. Wahāṅ wuh apnī qurbānī yoṅ pesh kare jis tarah Sabat ke din kartā hai. Us ke nikalne par yih darwāzā band kar diyā jāe.
21 Phir merā rāhnumā dubārā mere sāth bairūnī sahan meṅ ā gayā. Wahāṅ us ne mujhe us ke chār kone dikhāe. Har kone meṅ ek sahan thā 22 jis kī lambāī 70 fuṭ aur chauṛāī sāṛhe 52 fuṭ thī. Har sahan itnā hī baṛā thā 23 aur ek dīwār se ghirā huā thā. Dīwār ke sāth sāth chūlhe the. 24 Mere rāhnumā ne mujhe batāyā, “Yih wuh kichan haiṅ jin meṅ Rab ke ghar ke ḳhādim logoṅ kī peshkardā qurbāniyāṅ ubāleṅge.”
<- Hizqiyel 45Hizqiyel 47 ->