3 Us kā ruḳh andarūnī sahan kī us khulī jagah kī taraf thā jo 35 fuṭ chauṛī thī. Dūsrā ruḳh bairūnī sahan ke pakke farsh kī taraf thā.
7 Kamroṅ ke sāmne ek bairūnī dīwār thī jo unheṅ bairūnī sahan se alag kartī thī. Us kī lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī, 8 kyoṅki bairūnī sahan kī taraf kamroṅ kī mil milā kar lambāī sāṛhe 87 fuṭ thī agarche pūrī dīwār kī lambāī 175 fuṭ thī. 9 Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq kī taraf se ānā paṛtā thā. Wahāṅ ek darwāzā thā.
10 Rab ke ghar ke junūb meṅ us jaisī ek aur imārat thī jo Rab ke ghar ke pīchhe wālī yānī maġhribī imārat ke muqābil thī. 11 Us ke kamroṅ ke sāmne bhī mazkūrā shimālī imārat jaisī guzargāh thī. Us kī lambāī aur chauṛāī, ḍizāyn aur darwāze, ġharz sab kuchh shimālī makān kī mānind thā. 12 Kamroṅ ke darwāze junūb kī taraf the, aur un ke sāmne bhī ek hifāzatī dīwār thī. Bairūnī sahan se is imārat meṅ dāḳhil hone ke lie mashriq se ānā paṛtā thā. Us kā darwāzā bhī guzargāh ke shurū meṅ thā.
13 Us ādmī ne mujh se kahā, “Yih donoṅ imārateṅ muqaddas haiṅ. Jo imām Rab ke huzūr āte haiṅ wuh inhīṅ meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ khāte haiṅ. Chūṅki yih kamre muqaddas haiṅ is lie imām in meṅ muqaddastarīn qurbāniyāṅ rakheṅge, ḳhāh ġhallā, gunāh yā qusūr kī qurbāniyāṅ kyoṅ na hoṅ. 14 Jo imām maqdis se nikal kar bairūnī sahan meṅ jānā chāheṅ unheṅ in kamroṅ meṅ wuh muqaddas libās utār kar chhoṛnā hai jo unhoṅ ne Rab kī ḳhidmat karte waqt pahne hue the. Lāzim hai ki wuh pahle apne kapṛe badleṅ, phir hī wahāṅ jāeṅ jahāṅ bāqī log jamā hote haiṅ.”