7 Chunāṅche ai gallābāno, Rab kā jawāb suno! 8 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki merī hayāt kī qasam, merī bheṛ-bakriyāṅ luṭeroṅ kā shikār aur tamām darindoṅ kī ġhizā ban gaī haiṅ. Un kī dekh-bhāl karne wālā koī nahīṅ hai. Mere gallābān mere rewaṛ ko ḍhūnḍ kar wāpas nahīṅ lāte balki sirf apnā hī ḳhayāl karte haiṅ. 9 Chunāṅche ai gallābāno, Rab kā jawāb suno! 10 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ gallābānoṅ se nipaṭ kar unheṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ke lie zimmedār ṭhahrāūṅgā. Tab maiṅ unheṅ gallābānī kī zimmedārī se fāriġh karūṅga tāki sirf apnā hī ḳhayāl karne kā silsilā ḳhatm ho jāe. Maiṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko un ke muṅh se nikāl kar bachāūṅgā tāki āindā wuh unheṅ na khāeṅ.
16 Maiṅ gumshudā bheṛ-bakriyoṅ kā khoj lagāūṅgā aur āwārā phirne wāloṅ ko wāpas lāūṅgā. Maiṅ zaḳhmiyoṅ kī marham-paṭṭī karūṅga aur kamzoroṅ ko taqwiyat dūṅgā. Lekin moṭe-tāze aur tāqatwar jānwaroṅ ko maiṅ ḳhatm karūṅga. Maiṅ insāf se rewaṛ kī gallābānī karūṅga.
17 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai mere rewaṛ, jahāṅ bheṛoṅ, menḍhoṅ aur bakroṅ ke darmiyān nāinsāfī hai wahāṅ maiṅ un kī adālat karūṅga. 18 Kyā yih tumhāre lie kāfī nahīṅ ki tumheṅ khāne ke lie charāgāh kā behtarīn hissā aur pīne ke lie sāf-shaffāf pānī mil gayā hai? Tum bāqī charāgāh ko kyoṅ raundte aur bāqī pānī ko pāṅwoṅ se gadlā karte ho? 19 Merā rewaṛ kyoṅ tum se kuchlī huī ghās khāe aur tumhārā gadlā kiyā huā pānī pie?
20 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki jahāṅ moṭī aur dublī bheṛ-bakriyoṅ ke darmiyān nāinsāfī hai wahāṅ maiṅ ḳhud faislā karūṅga. 21 Kyoṅki tum moṭī bheṛoṅ ne kamzoroṅ ko kandhoṅ se dhakkā de kar aur sīṅgoṅ se mār mār kar achchhī ghās se bhagā diyā hai. 22 Lekin maiṅ apnī bheṛ-bakriyoṅ ko tum se bachā lūṅgā. Āindā unheṅ lūṭā nahīṅ jāegā balki maiṅ ḳhud un meṅ insāf qāym rakhūṅgā.
25 Maiṅ Isrāīliyoṅ ke sāth salāmatī kā ahd bāndh kar darindoṅ ko mulk se nikāl dūṅgā. Phir wuh hifāzat se so sakeṅge, ḳhāh registān meṅ hoṅ yā jangal meṅ. 26 Maiṅ unheṅ aur apne pahāṛ ke irdgird ke ilāqe ko barkat dūṅgā. Maiṅ mulk meṅ waqt par bārish barsātā rahūṅgā. Aisī mubārak bārisheṅ hoṅgī 27 ki mulk ke bāġhoṅ aur khetoṅ meṅ zabardast fasleṅ pakeṅgī. Log apne mulk meṅ mahfūz hoṅge. Phir jab maiṅ un ke jue ko toṛ kar unheṅ un se rihāī dūṅgā jinhoṅ ne unheṅ ġhulām banāyā thā tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ. 28 Āindā na dīgar aqwām unheṅ lūṭeṅgī, na wuh darindoṅ kī ḳhurāk baneṅge balki wuh hifāzat se apne gharoṅ meṅ baseṅge. Ḍarāne wālā koī nahīṅ hogā. 29 Mere hukm par zamīn aisī fasleṅ paidā karegī jin kī shohrat dūr dūr tak phailegī. Āindā na wuh bhūke mareṅge, na unheṅ dīgar aqwām kī lān-tān sunanī paṛegī. 30 Rab Qādir-e-mutlaq Ḳhudā farmātā hai ki us waqt wuh jān leṅge ki maiṅ jo Rab un kā Ḳhudā hūṅ un ke sāth hūṅ, ki Isrāīlī merī qaum haiṅ. 31 Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki tum merā rewaṛ, merī charāgāh kī bheṛ-bakriyāṅ ho. Tum mere log, aur maiṅ tumhārā Ḳhudā hūṅ.’ ”
<- Hizqiyel 33Hizqiyel 35 ->