3 Use batā, ‘Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki ai Shāh-e-Misr Firaun, maiṅ tujh se nipaṭne ko hūṅ. Beshak tū ek baṛā azhdahā hai jo Dariyā-e-Nīl kī muḳhtalif shāḳhoṅ ke bīch meṅ leṭā huā kahtā hai ki yih dariyā merā hī hai, maiṅ ne ḳhud use banāyā.
4 Lekin maiṅ tere muṅh meṅ kāṅṭe ḍāl kar tujhe dariyā se nikāl lāūṅgā. Mere kahne par terī nadiyoṅ kī tamām machhliyāṅ tere chhilkoṅ ke sāth lag kar tere sāth pakaṛī jāeṅgī. 5 Maiṅ tujhe in tamām machhliyoṅ samet registān meṅ phaiṅk chhoṛūṅgā. Tū khule maidān meṅ gir kar paṛā rahegā. Na koī tujhe ikaṭṭhā karegā, na jamā karegā balki maiṅ tujhe darindoṅ aur parindoṅ ko khilā dūṅgā. 6 Tab Misr ke tamām bāshinde jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.
13 Lekin Rab Qādir-e-mutlaq yih bhī farmātā hai ki chālīs sāl ke bād maiṅ Misriyoṅ ko un mamālik se nikāl kar jamā karūṅga jahāṅ maiṅ ne unheṅ muntashir kar diyā thā. 14 Maiṅ Misr ko bahāl karke unheṅ un ke ābāī watan yānī junūbī Misr meṅ wāpas lāūṅgā. Wahāṅ wuh ek ġhairaham saltanat qāym kareṅge 15 jo bāqī mamālik kī nisbat chhoṭī hogī. Āindā wuh dīgar qaumoṅ par apnā rob nahīṅ ḍāleṅge. Maiṅ ḳhud dhyān dūṅgā ki wuh āindā itne kamzor raheṅ ki dīgar qaumoṅ par hukūmat na kar sakeṅ. 16 Āindā Isrāīl na Misr par bharosā karne aur na us se lipaṭ jāne kī āzmāish meṅ paṛegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab Qādir-e-mutlaq hūṅ.’ ”
19 Is lie Rab Qādir-e-mutlaq farmātā hai ki maiṅ Shāh-e-Bābal Nabūkadnazzar ko Misr de dūṅgā. Us kī daulat ko wuh uṭhā kar le jāegā. Apnī fauj ko paise dene ke lie wuh Misr ko lūṭ legā. 20 Chūṅki Nabūkadnazzar aur us kī fauj ne mere lie ḳhūb mehnat-mashaqqat kī is lie maiṅ ne use muāwaze ke taur par Misr de diyā hai. Yih Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.
21 Jab yih kuchh pesh āegā to maiṅ Isrāīl ko naī tāqat dūṅgā. Ai Hizqiyel, us waqt maiṅ terā muṅh khol dūṅgā, aur tū dubārā un ke darmiyān bolegā. Tab wuh jān leṅge ki maiṅ hī Rab hūṅ.”
<- Hizqiyel 28Hizqiyel 30 ->