8 Saidā aur arwad ke mard tere chappū mārte the, Sūr ke apne hī dānā tere mallāh the. 9 Jabal [a] ke buzurg aur dānishmand ādmī dhyān dete the ki terī darzeṅ band raheṅ. Tamām bahrī jahāz apne mallāhoṅ samet tere pās āyā karte the tāki tere sāth tijārat kareṅ. 10 Fāras, Ludiyā aur Libiyā ke afrād terī fauj meṅ ḳhidmat karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī un kī ḍhāloṅ aur ḳhodoṅ ne terī shān mazīd baṛhā dī. 11 Arwad aur Ḳhalak [b] ke ādmī terī fasīl kā difā karte the, jammād ke faujī tere burjoṅ meṅ pahrādārī karte the. Terī dīwāroṅ se laṭkī huī un kī ḍhāloṅ ne tere husn ko kamāl tak pahuṅchā diyā.
12 Tū amīr thī, tujh meṅ māl-o-asbāb kī kasrat kī tijārat kī jātī thī. Is lie Tarsīs tujhe chāṅdī, lohā, ṭīn aur sīsā de kar tujh se saudā kartā thā. 13 Yūnān, Tūbal aur Masak tujh se tijārat karte, terā māl ḳharīd kar muāwaze meṅ ġhulām aur pītal kā sāmān dete the. 14 Bait-tujarmā ke tājir tere māl ke lie tujhe ām ghoṛe, faujī ghoṛe aur ḳhachchar pahuṅchāte the. 15 Dadān ke ādmī tere sāth tijārat karte the, hāṅ muta'addid sāhilī ilāqe tere gāhak the. Un ke sāth saudābāzī karke tujhe hāthīdāṅt aur ābnūs kī lakaṛī miltī thī. 16 Shām terī paidāwār kī kasrat kī wajah se tere sāth tijārat kartā thā. Muāwaze meṅ tujhe fīrozā, arġhawānī rang, rangdār kapṛe, bārīk katān, mūṅgā aur yāqūt miltā thā. 17 Yahūdāh aur Isrāīl tere gāhak the. Terā māl ḳharīd kar wuh tujhe Minnīt kā gandum, pannag kī ṭikkiyāṅ, shahd, zaitūn kā tel aur balsān dete the. 18 Damishq terī wāfir paidāwār aur māl kī kasrat kī wajah se tere sāth kārobār kartā thā. Us se tujhe Halbūn kī mai aur sāhar kī ūn miltī thī. 19 Widān aur Yūnān tere gāhak the. Wuh Ūzāl kā ḍhālā huā lohā, dārchīnī aur kalamas kā masālā pahuṅchāte the. 20 Dadān se tijārat karne se tujhe zīnposh miltī thī. 21 Arab aur Qīdār ke tamām hukmrān tere gāhak the. Tere māl ke ewaz wuh bheṛ ke bachche, menḍhe aur bakre dete the. 22 Sabā aur Rāmā ke tājir terā māl hāsil karne ke lie tujhe behtarīn balsān, har qism ke jawāhar aur sonā dete the. 23 Hārān, Kannā, Adan, Sabā, Asūr aur kul Mādī sab tere sāth tijārat karte the. 24 Wuh tere pās ā kar tujhe shāndār libās, qirmizī rang kī chādareṅ, rangdār kapṛe aur kambal, nīz mazbūt rasse pesh karte the. 25 Tarsīs ke umdā jahāz terā māl muḳhtalif mamālik meṅ pahuṅchāte the. Yoṅ tū jahāz kī mānind samundar ke bīch meṅ rah kar daulat aur shān se mālāmāl ho gaī. 26 Tere chappū chalāne wāle tujhe dūr dūr tak pahuṅchāte haiṅ.
33 Jab tijārat kā māl samundar kī chāroṅ taraf se tujh tak pahuṅchtā thā to tū muta'addid qaumoṅ ko ser kartī thī. Duniyā ke bādshāh terī daulat aur tijāratī sāmān kī kasrat se amīr hue.
34 Afsos! Ab tū pāsh pāsh ho kar samundar kī gahrāiyoṅ meṅ ġhāyb ho gaī hai. Terā māl aur tere tamām afrād tere sāth ḍūb gae haiṅ.
35 Sāhilī ilāqoṅ meṅ basne wāle ghabrā gae haiṅ. Un ke bādshāhoṅ ke roṅgṭe khaṛe ho gae. Un ke chehre pareshān nazar āte haiṅ.
36 Dīgar aqwām ke tājir tujhe dekh kar “Taubā taubā” kahte haiṅ. Terā haulnāk anjām achānak hī ā gayā hai. Ab se tū kabhī nahīṅ uṭhegī.’ ”
<- Hizqiyel 26Hizqiyel 28 ->