6 Agle din Rab ne aisā hī kiyā. Misr ke tamām maweshī mar gae. Lekin Isrāīliyoṅ kā ek bhī jānwar na marā. 7 Firaun ne kuchh logoṅ ko un ke pās bhej diyā to patā chalā ki ek bhī jānwar nahīṅ marā. Tāham Firaun aṛā rahā. Us ne Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā.
10 Mūsā aur Hārūn ne aisā hī kiyā. Wuh kisī bhaṭṭī se rākh le kar Firaun ke sāmne khaṛe ho gae. Mūsā ne rākh ko hawā meṅ uṛā diyā to insānoṅ aur jānwaroṅ ke jismoṅ par phoṛe-phuṅsiyāṅ nikal āe. 11 Is martabā jādūgar Mūsā ke sāmne khaṛe bhī na ho sake kyoṅki un ke jismoṅ par bhī phoṛe nikal āe the. Tamām Misriyoṅ kā yihī hāl thā. 12 Lekin Rab ne Firaun ko ziddī banāe rakhā, is lie us ne Mūsā aur Hārūn kī na sunī. Yoṅ waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā ko batāyā thā.
20 Firaun ke kuchh ohdedār Rab kā paiġhām sun kar ḍar gae aur bhāg kar apne jānwaroṅ aur ġhulāmoṅ ko gharoṅ meṅ le āe. 21 Lekin dūsroṅ ne Rab ke paiġhām kī parwā na kī. Un ke jānwar aur ġhulām bāhar khule maidān meṅ rahe.
22 Rab ne Mūsā se kahā, “Apnā hāth āsmān kī taraf baṛhā de. Phir Misr ke tamām insānoṅ, jānwaroṅ aur khetoṅ ke paudoṅ par ole paṛeṅge.” 23 Mūsā ne apnī lāṭhī āsmān kī taraf uṭhāī to Rab ne ek zabardast tūfān bhej diyā. Ole paṛe, bijlī girī aur bādal garajte rahe. 24 Ole paṛte rahe aur bijlī chamaktī rahī. Misrī qaum kī ibtidā se le kar ab tak aise ḳhatarnāk ole kabhī nahīṅ paṛe the. 25 Insānoṅ se le kar haiwānoṅ tak khetoṅ meṅ sab kuchh barbād ho gayā. Oloṅ ne khetoṅ meṅ tamām paude aur daraḳht bhī toṛ die. 26 Wuh sirf Jushan ke ilāqe meṅ na paṛe jahāṅ Isrāīlī ābād the.
27 Tab Firaun ne Mūsā aur Hārūn ko bulāyā. Us ne kahā, “Is martabā maiṅ ne gunāh kiyā hai. Rab haq par hai. Mujh se aur merī qaum se ġhaltī huī hai. 28 Ole aur Allāh kī garajtī āwāzeṅ had se zyādā haiṅ. Rab se duā karo tāki ole ruk jāeṅ. Ab maiṅ tumheṅ jāne dūṅgā. Ab se tumheṅ yahāṅ rahnā nahīṅ paṛegā.”
29 Mūsā ne Firaun se kahā, “Maiṅ shahr se nikal kar donoṅ hāth Rab kī taraf uṭhā kar duā karūṅga. Phir garaj aur ole ruk jāeṅge aur āp jān leṅge ki pūrī duniyā Rab kī hai. 30 Lekin maiṅ jāntā hūṅ ki āp aur āp ke ohdedār abhī tak Rab Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ mānte.”
31 Us waqt san ke phūl nikal chuke the aur jau kī bāleṅ lag gaī thīṅ. Is lie yih fasleṅ tabāh ho gaīṅ. 32 Lekin gehūṅ aur ek aur qism kī gandum jo bād meṅ paktī hai barbād na huī.
33 Mūsā Firaun ko chhoṛ kar shahr se niklā. Us ne Rab kī taraf apne hāth uṭhāe to garaj, ole aur bārish kā tūfān ruk gayā. 34 Jab Firaun ne dekhā ki tūfān ḳhatm ho gayā hai to wuh aur us ke ohdedār dubārā gunāh karke akaṛ gae. 35 Firaun aṛā rahā aur Isrāīliyoṅ ko jāne na diyā. Waisā hī huā jaisā Rab ne Mūsā se kahā thā.
<- Ḳhurūj 8Ḳhurūj 10 ->