4 Qurbāngāh ko uṭhāne ke lie us ne pītal kā janglā banāyā. Wuh ūpar se khulā thā aur yoṅ banāyā gayā ki jab qurbāngāh us meṅ rakhī jāe to wuh us kināre tak pahuṅche jo qurbāngāh kī ādhī ūṅchāī par lagī thī. 5 Us ne qurbāngāh ko uṭhāne ke lie chār kaṛe banā kar unheṅ jangle ke chār konoṅ par lagāyā. 6 Phir us ne kīkar kī do lakaṛiyāṅ banā kar un par pītal chaṛhāyā 7 aur qurbāngāh ke donoṅ taraf lage in kaṛoṅ meṅ ḍāl dīṅ. Yoṅ use uṭhāyā jā saktā thā. Qurbāngāh lakaṛī kī thī lekin khokhlī thī.
8 Bazliyel ne dhone kā hauz aur us kā ḍhāṅchā bhī pītal se banāyā. Us kā pītal un auratoṅ ke āīnoṅ se milā thā jo mulāqāt ke ḳhaime ke darwāze par ḳhidmat kartī thīṅ.
18 Chārdīwārī ke darwāze kā pardā nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge aur bārīk katān se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. Wuh 30 fuṭ chauṛā aur chārdīwārī ke dūsre pardoṅ kī tarah sāṛhe sāt fuṭ ūṅchā thā. 19 Us ke chār khambe aur pītal ke chār pāe the. Us kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ chāṅdī kī thīṅ, aur khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par chāṅdī chaṛhāī gaī thī. 20 Ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ pītal kī thīṅ.
24 Us sone kā wazn jo logoṅ ke hadiyoṅ se jamā huā aur maqdis kī tāmīr ke lie istemāl huā taqrīban 1,000 kilogrām thā. (Use maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.)
25 Tāmīr ke lie chāṅdī jo mardumshumārī ke hisāb se wasūl huī, us kā wazn taqrīban 3,430 kilogrām thā. (Use bhī maqdis ke bāṭoṅ ke hisāb se tolā gayā.) 26 Jin mardoṅ kī umr 20 sāl yā is se zāyd thī unheṅ chāṅdī kā ādhā ādhā sikkā denā paṛā. Mardoṅ kī kul tādād 6,03,550 thī. 27 Chūṅki dīwāroṅ ke taḳhtoṅ ke pāe aur Muqaddastarīn Kamre ke darwāze ke satūnoṅ ke pāe chāṅdī ke the is lie taqrīban pūrī chāṅdī in 100 pāiyoṅ ke lie sarf huī. 28 Taqrīban 30 kilogrām chāṅdī bach gaī. Is se chārdīwārī ke khamboṅ kī hukeṅ aur paṭṭiyāṅ banāī gaīṅ, aur yih khamboṅ ke ūpar ke siroṅ par bhī chaṛhāī gaī.
29 Jo pītal hadiyoṅ se jamā huā us kā wazn taqrīban 2,425 kilogrām thā. 30 Ḳhaime ke darwāze ke pāe, jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā janglā, bartan aur sāz-o-sāmān, 31 chārdīwārī ke pāe, sahan ke darwāze ke pāe aur ḳhaime aur chārdīwārī kī tamām meḳheṅ isī se banāī gaīṅ.
<- Ḳhurūj 37Ḳhurūj 39 ->