Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
37
Ahd kā Sandūq
1 Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kā sandūq banāyā. Us kī lambāī paune chār fuṭ thī jabki us kī chauṛāī aur ūṅchāī sawā do do fuṭ thī. 2 Us ne pūre sandūq par andar aur bāhar se ḳhālis sonā chaṛhāyā. Ūpar kī satah ke irdgird us ne sone kī jhālar lagāī. 3 Sandūq ko uṭhāne ke lie us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ sandūq ke chārpāiyoṅ par lagāyā. Donoṅ taraf do do kaṛe the. 4 Phir us ne kīkar kī do lakaṛiyāṅ sandūq ko uṭhāne ke lie taiyār kīṅ aur un par sonā chaṛhāyā. 5 Us ne in lakaṛiyoṅ ko donoṅ taraf ke kaṛoṅ meṅ ḍāl diyā tāki un se sandūq ko uṭhāyā jā sake.

6 Bazliyel ne sandūq kā ḍhaknā ḳhālis sone kā banāyā. Us kī lambāī paune chār fuṭ aur chauṛāī sawā do fuṭ thī. 7-8 Phir us ne do karūbī farishte sone se ghaṛ kar banāe jo ḍhakne ke donoṅ siroṅ par khaṛe the. Yih do farishte aur ḍhaknā ek hī ṭukṛe se banāe gae. 9 Farishtoṅ ke par yoṅ ūpar kī taraf phaile hue the ki wuh ḍhakne ko panāh dete the. Un ke muṅh ek dūsre kī taraf kie hue the, aur wuh ḍhakne kī taraf deḳhte the.

Maḳhsūs Roṭiyoṅ kī Mez
10 Is ke bād Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī mez banāī. Us kī lambāī tīn fuṭ, chauṛāī ḍeṛh fuṭ aur ūṅchāī sawā do fuṭ thī. 11 Us ne us par ḳhālis sonā chaṛhā kar us ke irdgird sone kī jhālar lagāī. 12 Mez kī ūpar kī satah par us ne chaukhaṭā bhī lagāyā jis kī ūṅchāī tīn inch thī aur jis par sone kī jhālar lagī thī. 13 Ab us ne sone ke chār kaṛe ḍhāl kar unheṅ chāroṅ konoṅ par lagāyā jahāṅ mez ke pāe lage the. 14 Yih kaṛe mez kī satah par lage chaukhaṭe ke nīche lagāe gae. Un meṅ wuh lakaṛiyāṅ ḍālnī thīṅ jin se mez ko uṭhānā thā. 15 Bazliyel ne yih lakaṛiyāṅ bhī kīkar se banāīṅ aur un par sonā chaṛhāyā.

16 Āḳhirkār us ne ḳhālis sone ke wuh thāl, pyāle, mai kī nazareṅ pesh karne ke bartan aur martabān banāe jo us par rakhe jāte the.

Shamādān
17 Phir Bazliyel ne ḳhālis sone kā shamādān banāyā. Us kā pāyā aur ḍanḍī ghaṛ kar banāe gae. Us kī pyāliyāṅ jo phūloṅ aur kaliyoṅ kī shakl kī thīṅ pāe aur ḍanḍī ke sāth ek hī ṭukṛā thīṅ. 18 Ḍanḍī se dāīṅ aur bāīṅ taraf tīn tīn shāḳheṅ nikaltī thīṅ. 19 Har shāḳh par tīn pyāliyāṅ lagī thīṅ jo bādām kī kaliyoṅ aur phūloṅ kī shakl kī thīṅ. 20 Shamādān kī ḍanḍī par bhī is qism kī pyāliyāṅ lagī thīṅ, lekin tādād meṅ chār. 21 In meṅ se tīn pyāliyāṅ dāeṅ bāeṅ kī chhih shāḳhoṅ ke nīche lagī thīṅ. Wuh yoṅ lagī thīṅ ki har pyālī se do shāḳheṅ nikaltī thīṅ. 22 Shāḳheṅ aur pyāliyāṅ balki pūrā shamādān ḳhālis sone ke ek hī ṭukṛe se ghaṛ kar banāyā gayā.

23 Bazliyel ne shamādān ke lie ḳhālis sone ke sāt charāġh banāe. Us ne battī katarne kī qainchiyāṅ aur jalte koele ke lie chhoṭe bartan bhī ḳhālis sone se banāe. 24 Shamādān aur us ke tamām sāmān ke lie pūre 34 kilogrām ḳhālis sonā istemāl huā.

Baḳhūr Jalāne kī Qurbāngāh
25 Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī kī qurbāngāh banāī jo baḳhūr jalāne ke lie thī. Wuh ḍeṛh fuṭ lambī, itnī hī chauṛī aur tīn fuṭ ūṅchī thī. Us ke chār konoṅ meṅ se sīṅg nikalte the jo qurbāngāh ke sāth ek hī ṭukṛe se banāe gae the. 26 Us kī ūpar kī satah, us ke chār pahluoṅ aur us ke sīṅgoṅ par ḳhālis sonā chaṛhāyā gayā. Ūpar kī satah ke irdgird Bazliyel ne sone kī jhālar banāī. 27 Sone ke do kaṛe banā kar us ne unheṅ is jhālar ke nīche ek dūsre ke muqābil pahluoṅ par lagāyā. In kaṛoṅ meṅ qurbāngāh ko uṭhāne kī lakaṛiyāṅ ḍālī gaīṅ. 28 Yih lakaṛiyāṅ kīkar kī thīṅ, aur un par bhī sonā chaṛhāyā gayā.

29 Bazliyel ne masah karne kā muqaddas tel aur ḳhushbūdār ḳhālis baḳhūr bhī banāyā. Yih itarsāz kā kām thā.

<- Ḳhurūj 36Ḳhurūj 38 ->