1 Lāzim hai ki Bazliyel, Uhliyāb aur bāqī kārīgar jin ko Rab ne maqdis kī tāmīr ke lie hikmat aur samajh dī hai sab kuchh ain un hidāyāt ke mutābiq banāeṅ jo Rab ne dī haiṅ.”
14 Us ne bakrī ke bāloṅ se bhī 11 parde banāe jinheṅ kapṛe wāle ḳhaime ke ūpar rakhnā thā. 15 Har parde kī lambāī 45 fuṭ aur chauṛāī 6 fuṭ thī. 16 Pāṅch pardoṅ ke lambe hāshie ek dūsre ke sāth joṛe gae aur is tarah bāqī chhih bhī. 17 In donoṅ ṭukṛoṅ ko milāne ke lie us ne har ṭukṛe ke 45 fuṭ wāle ek kināre par pachās pachās halqe lagāe. 18 Phir pītal kī 50 hukeṅ banā kar us ne donoṅ hisse milāe.
19 Ek dūsre ke ūpar ke donoṅ ḳhaimoṅ kī hifāzat ke lie Bazliyel ne do aur ġhilāf banāe. Bakrī ke bāloṅ ke ḳhaime par rakhne ke lie us ne menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ joṛ dīṅ aur us ke ūpar rakhne ke lie taḳhas kī khāleṅ milāīṅ.
20 Is ke bād us ne kīkar kī lakaṛī ke taḳhte banāe jo ḳhaime kī dīwāroṅ kā kām dete the. 21 Har taḳhte kī ūṅchāī 15 fuṭ thī aur chauṛāī sawā do fuṭ. 22 Har taḳhte ke nīche do do chūleṅ thīṅ. In chūloṅ se har taḳhte ko us ke pāiyoṅ ke sāth joṛā jātā thā tāki taḳhtā khaṛā rahe. 23 Ḳhaime kī junūbī dīwār ke lie 20 taḳhte banāe gae 24 aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe bhī jin par taḳhte khaṛe kie jāte the. Har taḳhte ke nīche do pāe the, aur har pāe meṅ ek chūl lagtī thī. 25 Isī tarah ḳhaime kī shimālī dīwār ke lie bhī 20 taḳhte banāe gae 26 aur sāth hī chāṅdī ke 40 pāe jo taḳhtoṅ ko khaṛā karne ke lie the. Har taḳhte ke nīche do pāe the. 27 Ḳhaime kī pichhlī yānī maġhribī dīwār ke lie chhih taḳhte banāe gae. 28 Is dīwār ko shimālī aur junūbī dīwāroṅ ke sāth joṛne ke lie kone wāle do taḳhte banāe gae. 29 In do taḳhtoṅ meṅ nīche se le kar ūpar tak konā thā tāki ek se shimālī dīwār maġhribī dīwār ke sāth juṛ jāe aur dūsre se junūbī dīwār maġhribī dīwār ke sāth. In ke ūpar ke sire kaṛoṅ se mazbūt kie gae. 30 Yoṅ pichhle yānī maġhribī taḳhtoṅ kī pūrī tādād 8 thī aur in ke lie chāṅdī ke pāiyoṅ kī tādād 16, har taḳhte ke nīche do pāe.
31-32 Phir Bazliyel ne kīkar kī lakaṛī ke shahtīr banāe, tīnoṅ dīwāroṅ ke lie pāṅch pāṅch shahtīr. Wuh har dīwār ke taḳhtoṅ par yoṅ lagāne ke lie the ki un se taḳhte ek dūsre ke sāth milāe jāeṅ. 33 Darmiyānī shahtīr yoṅ banāyā gayā ki wuh dīwār kī ādhī ūṅchāī par dīwār ke ek sire se dūsre sire tak lag saktā thā. 34 Us ne tamām taḳhtoṅ aur shahtīroṅ par sonā chaṛhāyā. Shahtīroṅ ko taḳhtoṅ ke sāth lagāne ke lie us ne sone ke kaṛe banāe jo taḳhtoṅ meṅ lagāne the.
37 Bazliyel ne ḳhaime ke darwāze ke lie bhī pardā banāyā. Wuh bhī bārīk katān aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang ke dhāge se banāyā gayā, aur us par kaṛhāī kā kām kiyā gayā. 38 Is parde ko laṭkāne ke lie us ne sone kī hukeṅ aur kīkar kī lakaṛī ke pāṅch satūn banāe. Satūnoṅ ke ūpar ke siroṅ aur paṭṭiyoṅ par sonā chaṛhāyā gayā jabki un ke pāe pītal ke the.
<- Ḳhurūj 35Ḳhurūj 37 ->