10 Tum meṅ se jitne māhir kārīgar haiṅ wuh ā kar wuh kuchh banāeṅ jo Rab ne farmāyā 11 yānī ḳhaimā aur wuh ġhilāf jo us ke ūpar lagāe jāeṅge, hukeṅ, dīwāroṅ ke taḳhte, shahtīr, satūn aur pāe, 12 ahd kā sandūq, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us ke kaffāre kā ḍhaknā, Muqaddastarīn Kamre ke darwāze kā pardā, 13 maḳhsūs roṭiyoṅ kī mez, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, us kā sārā sāmān aur roṭiyāṅ, 14 shamādān aur us par rakhne ke charāġh us ke sāmān samet, shamādān ke lie tel, 15 baḳhūr jalāne kī qurbāngāh, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ, masah kā tel, ḳhushbūdār baḳhūr, muqaddas ḳhaime ke darwāze kā pardā, 16 jānwaroṅ ko chaṛhāne kī qurbāngāh, us kā pītal kā janglā, use uṭhāne kī lakaṛiyāṅ aur bāqī sārā sāmān, dhone kā hauz aur wuh ḍhāṅchā jis par hauz rakhā jātā hai, 17 chārdīwārī ke parde un ke khamboṅ aur pāiyoṅ samet, sahan ke darwāze kā pardā, 18 ḳhaime aur chārdīwārī kī meḳheṅ aur rasse, 19 aur wuh muqaddas libās jo Hārūn aur us ke beṭe maqdis meṅ ḳhidmat karne ke lie pahante haiṅ.”
20 Yih sun kar Isrāīl kī pūrī jamāt Mūsā ke pās se chalī gaī. 21 Aur jo jo dilī ḳhushī se denā chāhtā thā wuh mulāqāt ke ḳhaime, us ke sāmān yā imāmoṅ ke kapṛoṅ ke lie koī hadiyā le kar wāpas āyā. 22 Rab ke hadiye ke lie mard aur ḳhawātīn dilī ḳhushī se apne sone ke zewarāt masalan jaṛāū pineṅ, bāliyāṅ aur chhalle le āe. 23 Jis jis ke pās darkār chīzoṅ meṅ se kuchh thā wuh use Mūsā ke pās le āyā yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā, bārīk katān, bakrī ke bāl, menḍhoṅ kī surḳh rangī huī khāleṅ aur taḳhas kī khāleṅ. 24 Chāṅdī, pītal aur kīkar kī lakaṛī bhī hadiye ke taur par lāī gaī. 25 Aur jitnī aurateṅ kātne meṅ māhir thīṅ wuh apnī kātī huī chīzeṅ le āīṅ yānī nīle, qirmizī aur arġhawānī rang kā dhāgā aur bārīk katān. 26 Isī tarah jo jo aurat bakrī ke bāl kātne meṅ māhir thī aur dilī ḳhushī se maqdis ke lie kām karnā chāhtī thī wuh yih kāt kar le āī. 27 Sardār aqīq-e-ahmar aur dīgar jawāhar le āe jo imām-e-āzam ke bālāposh aur sīne ke kīse ke lie darkār the. 28 Wuh shamādān, masah ke tel aur ḳhushbūdār baḳhūr ke lie masāle aur zaitūn kā tel bhī le āe.
29 Yoṅ Isrāīl ke tamām mard aur ḳhawātīn jo dilī ḳhushī se Rab ko kuchh denā chāhte the us sāre kām ke lie hadiye le āe jo Rab ne Mūsā kī mārifat karne ko kahā thā.