4 Us ke lie yih libās banāne haiṅ: sīne kā kīsā, bālāposh, choġhā, bunā huā zerjāmā, pagaṛī aur kamarband. Yih kapṛe apne bhāī Hārūn aur us ke beṭoṅ ke lie banwāne haiṅ tāki wuh imām ke taur par ḳhidmat kar sakeṅ. 5 In kapṛoṅ ke lie sonā aur nīle, arġhawānī aur qirmizī rang kā dhāgā aur bārīk katān istemāl kiyā jāe.
9 Phir aqīq-e-ahmar ke do patthar chun kar un par Isrāīl ke bārah beṭoṅ ke nām kandā karnā. 10 Har jauhar par chhih chhih nām un kī paidāish kī tartīb ke mutābiq kandā kie jāeṅ. 11 Yih nām us tarah jauharoṅ par kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai. Phir donoṅ jauhar sone ke ḳhānoṅ meṅ jaṛ kar 12 bālāposh kī do paṭṭiyoṅ par aise lagānā ki kandhoṅ par ā jāeṅ. Jab Hārūn mere huzūr āegā to jauharoṅ par ke yih nām us ke kandhoṅ par hoṅge aur mujhe Isrāīliyoṅ kī yād dilāeṅge.
13 Sone ke ḳhāne banānā 14 aur ḳhālis sone kī do zanjīreṅ jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ. Phir in do zanjīroṅ ko sone ke ḳhānoṅ ke sāth lagānā.
17 Us par chār qatāroṅ meṅ jawāhar jaṛnā. Har qatār meṅ tīn tīn jauhar hoṅ. Pahlī qatār meṅ lāl, *Yā ek qism kā surḳh aqīq. Yād rahe ki chūṅki qadīm zamāne ke aksar jawāharāt ke nām matrūk haiṅ yā un kā matlab badal gayā hai, is lie un kā muḳhtalif tarjumā ho saktā hai. zabarjad †peridot aur zumurrad. 18 Dūsrī meṅ fīrozā, sang-e-lājaward ‡lapis lazuli aur hajrul-qamar. §mūnstone 19 tīsrī meṅ zarqon, *hyacinth aqīq †agate aur yāqūt-e-arġhawānī. ‡amethyst 20 chauthī meṅ pukhrāj, §topas aqīq-e-ahmar *carnelian aur yashab. †jasper har jauhar sone ke ḳhāne meṅ jaṛā huā ho. 21 Yih bārah jawāhar Isrāīl ke bārah qabīloṅ kī numāindagī karte haiṅ. Ek ek jauhar par ek qabīle kā nām kandā kiyā jāe. Yih nām us tarah kandā kie jāeṅ jis tarah muhr kandā kī jātī hai.
22 Sīne ke kīse par ḳhālis sone kī do zanjīreṅ lagānā jo ḍorī kī tarah gundhī huī hoṅ. 23 Unheṅ lagāne ke lie do kaṛe banā kar kīse ke ūpar ke do konoṅ par lagānā. 24 Ab donoṅ zanjīreṅ un do kaṛoṅ se lagānā. 25 Un ke dūsre sire bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ ke do ḳhānoṅ ke sāth joṛ denā, phir sāmne kī taraf lagānā. 26 Kīse ke nichle do konoṅ par bhī sone ke do kaṛe lagānā. Wuh andar, bālāposh kī taraf lage hoṅ. 27 Ab do aur kaṛe banā kar bālāposh kī kandhoṅ wālī paṭṭiyoṅ par lagānā. Yih bhī sāmne kī taraf lage hoṅ lekin nīche, bālāposh ke paṭke ke ūpar hī. 28 Sīne ke kīse ke nichle kaṛe nīlī ḍorī se bālāposh ke in nichle kaṛoṅ ke sāth bāndhe jāeṅ. Yoṅ kīsā paṭke ke ūpar achchhī tarah sīne ke sāth lagā rahegā.
29 Jab bhī Hārūn maqdis meṅ dāḳhil ho kar Rab ke huzūr āegā wuh Isrāīlī qabīloṅ ke nām apne dil par sīne ke kīse kī sūrat meṅ sāth le jāegā. Yoṅ wuh qaum kī yād dilātā rahegā.
30 Sīne ke kīse meṅ donoṅ qur'e banām Ūrīm aur Tummīm rakhe jāeṅ. Wuh bhī maqdis meṅ Rab ke sāmne āte waqt Hārūn ke dil par hoṅ. Yoṅ jab Hārūn Rab ke huzūr hogā to Rab kī marzī pūchhne kā wasīlā hameshā us ke dil par hogā.
35 Hārūn ḳhidmat karte waqt hameshā choġhā pahne. Jab wuh maqdis meṅ Rab ke huzūr āegā aur wahāṅ se niklegā to ghanṭiyāṅ sunāī deṅgī. Phir wuh nahīṅ maregā.
39 Zerjāme ko bārīk katān se bunanā aur is tarah pagaṛī bhī. Phir kamarband banānā. Us par kaṛhāī kā kām kiyā jāe.
42 Un ke lie katān ke pājāme bhī banānā tāki wuh zerjāme ke nīche nange na hoṅ. Un kī lambāī kamr se rān tak ho. 43 Jab bhī Hārūn aur us ke beṭe mulāqāt ke ḳhaime meṅ dāḳhil hoṅ to unheṅ yih pājāme pahnane haiṅ. Isī tarah jab unheṅ Muqaddas Kamre meṅ ḳhidmat karne ke lie qurbāngāh ke pās ānā hotā hai to wuh yih pahneṅ, warnā wuh qusūrwār ṭhahar kar mar jāeṅge. Yih Hārūn aur us kī aulād ke lie ek abadī usūl hai.
<- Ḳhurūj 27Ḳhurūj 29 ->