1 In tamām bātoṅ par maiṅ ne dil se ġhaur kiyā. In ke muāyne ke bād maiṅ ne natījā nikālā ki rāstbāz aur dānishmand aur jo kuchh wuh kareṅ Allāh ke hāth meṅ haiṅ. Ḳhāh muhabbat ho ḳhāh nafrat, is kī bhī samajh insān ko nahīṅ ātī, donoṅ kī jaṛeṅ us se pahle māzī meṅ haiṅ. 2 Sab ke nasīb meṅ ek hī anjām hai, rāstbāz aur bedīn ke, nek aur bad ke, pāk aur nāpāk ke, qurbāniyāṅ pesh karne wāle ke aur us ke jo kuchh nahīṅ pesh kartā. Achchhe shaḳhs aur gunāhgār kā ek hī anjām hai, halaf uṭhāne wāle aur is se ḍar kar gurez karne wāle kī ek hī manzil hai.
3 Sūraj tale har kām kī yihī musībat hai ki har ek ke nasīb meṅ ek hī anjām hai. Insān kā mulāhazā kar. Us kā dil burāī se bharā rahtā balki umr-bhar us ke dil meṅ behūdagī rahtī hai. Lekin āḳhirkār use murdoṅ meṅ hī jā milnā hai.
4 Jo ab tak zindoṅ meṅ sharīk hai use ummīd hai. Kyoṅki zindā kutte kā hāl murdā sher se behtar hai. 5 Kam az kam jo zindā haiṅ wuh jānte haiṅ ki ham mareṅge. Lekin murde kuchh nahīṅ jānte, unheṅ mazīd koī ajr nahīṅ milnā hai. Un kī yādeṅ bhī miṭ jātī haiṅ. 6 Un kī muhabbat, nafrat aur ġhairat sab kuchh baṛī der se jātī rahī hai. Ab wuh kabhī bhī un kāmoṅ meṅ hissā nahīṅ leṅge jo sūraj tale hote haiṅ.
13 Sūraj tale maiṅ ne hikmat kī ek aur misāl dekhī jo mujhe aham lagī.
14 Kahīṅ koī chhoṭā shahr thā jis meṅ thoṛe-se afrād baste the. Ek din ek tāqatwar bādshāh us se laṛne āyā. Us ne us kā muhāsarā kiyā aur is maqsad se us ke irdgird baṛe baṛe burj khaṛe kie. 15 Shahr meṅ ek ādmī rahtā thā jo dānishmand albattā ġharīb thā. Is shaḳhs ne apnī hikmat se shahr ko bachā liyā. Lekin bād meṅ kisī ne bhī ġharīb ko yād na kiyā. 16 Yih dekh kar maiṅ bolā, “Hikmat tāqat se behtar hai,” lekin ġharīb kī hikmat haqīr jānī jātī hai. Koī bhī us kī bātoṅ par dhyān nahīṅ detā. 17 Dānishmand kī jo bāteṅ ārām se sunī jāeṅ wuh ahmaqoṅ ke darmiyān rahne wāle hukmrān ke zordār elānāt se kahīṅ behtar haiṅ. 18 Hikmat jang ke hathiyāroṅ se behtar hai, lekin ek hī gunāhgār bahut kuchh jo achchhā hai tabāh kartā hai.
<- Wāiz 8Wāiz 10 ->- a Yānī ḳhushī manāne ke kapṛe.