3 Agar bādal pānī se bhare hoṅ to zamīn par bārish zarūr hogī. Daraḳht junūb yā shimāl kī taraf gir jāe to usī taraf paṛā rahegā.
4 Jo har waqt hawā kā ruḳh deḳhtā rahe wuh kabhī bīj nahīṅ boegā. Jo bādaloṅ ko taktā rahe wuh kabhī fasal kī kaṭāī nahīṅ karegā.
5 Jis tarah na tujhe hawā ke chakkar mālūm haiṅ, na yih ki māṅ ke peṭ meṅ bachchā kis tarah tashkīl pātā hai usī tarah tū Allāh kā kām nahīṅ samajh saktā, jo sab kuchh amal meṅ lātā hai.
6 Subah ke waqt apnā bīj bo aur shām ko bhī kām meṅ lagā rah, kyoṅki kyā mālūm ki kis kām meṅ kāmyābī hogī, is meṅ, us meṅ yā donoṅ meṅ.
9 Ai naujawān, jab tak tū jawān hai ḳhush rah aur jawānī ke maze letā rah. Jo kuchh terā dil chāhe aur terī āṅkhoṅ ko pasand āe wuh kar, lekin yād rahe ki jo kuchh bhī tū kare us kā jawāb Allāh tujh se talab karegā. 10 Chunāṅche apne dil se ranjīdagī aur apne jism se dukh-dard dūr rakh, kyoṅki jawānī aur kāle bāl dam-bhar ke hī haiṅ.
<- Wāiz 10Wāiz 12 ->