5 Is ke bād Rab kā ḳhādim Mūsā wahīṅ Moāb ke mulk meṅ faut huā, bilkul usī tarah jis tarah Rab ne kahā thā. 6 Rab ne use Bait-faġhūr kī kisī wādī meṅ dafn kiyā, lekin āj tak kisī ko bhī mālūm nahīṅ ki us kī qabr kahāṅ hai.
7 Apnī wafāt ke waqt Mūsā 120 sāl kā thā. Āḳhir tak na us kī āṅkheṅ dhundlāīṅ, na us kī tāqat kam huī. 8 Isrāīliyoṅ ne Moāb ke maidānī ilāqe meṅ 30 din tak us kā mātam kiyā.
9 Phir Yashua bin Nūn Mūsā kī jagah khaṛā huā. Wuh hikmat kī rūh se māmūr thā, kyoṅki Mūsā ne apne hāth us par rakh die the. Isrāīliyoṅ ne us kī sunī aur wuh kuchh kiyā jo Rab ne unheṅ Mūsā kī mārifat batāyā thā.
10 Is ke bād Isrāīl meṅ Mūsā jaisā nabī kabhī na uṭhā jis se Rab rūbarū bāt kartā thā. 11 Kisī aur nabī ne aise ilāhī nishān aur mojize nahīṅ kie jaise Mūsā ne Firaun Bādshāh, us ke mulāzimoṅ aur pūre mulk ke sāmne kie jab Rab ne use Misr bhejā. 12 Kisī aur nabī ne is qism kā baṛā iḳhtiyār na dikhāyā, na aise azīm aur haibatnāk kām kie jaise Mūsā ne Isrāīliyoṅ ke sāmne kie.
<- Istisnā 33