3 Yaqīnan wuh qaumoṅ se muhabbat kartā hai, tamām muqaddasīn tere hāth meṅ haiṅ. Wuh tere pāṅwoṅ ke sāmne jhuk kar tujh se hidāyat pāte haiṅ.
4 Mūsā ne hameṅ sharīat dī yānī wuh chīz jo Yāqūb kī jamāt kī maurūsī milkiyat hai.
5 Isrāīl ke rāhnumā apne qabīloṅ samet jamā hue to Rab Yasūrūn [b] kā bādshāh ban gayā.
10 Wuh Yāqūb ko terī hidāyāt aur Isrāīl ko terī sharīat sikhā kar tere sāmne baḳhūr aur terī qurbāngāh par bhasm hone wālī qurbāniyāṅ chaṛhātā hai.
11 Ai Rab, us kī tāqat ko baṛhā kar us ke hāthoṅ kā kām pasand kar. Us ke muḳhālifoṅ kī kamr toṛ aur us se nafrat rakhne wāloṅ ko aisā mār ki āindā kabhī na uṭheṅ.
14 Yūsuf ko sūraj kī behtarīn paidāwār aur har mahīne kā lazīztarīn phal hāsil ho.
15 Use qadīm pahāṛoṅ aur abadī wādiyoṅ kī behtarīn chīzoṅ se nawāzā jāe.
16 Zamīn ke tamām zaḳhīre us ke lie khul jāeṅ. Wuh us ko pasand ho jo jaltī huī jhāṛī meṅ sukūnat kartā thā. Yih tamām barkateṅ Yūsuf ke sar par ṭhahreṅ, us ke sar par jo apne bhāiyoṅ meṅ shahzādā hai.
17 Yūsuf sānḍ ke pahlauṭhe jaisā azīm hai, aur us ke sīṅg janglī bail ke sīṅg haiṅ jin se wuh duniyā kī intahā tak sab qaumoṅ ko māregā. Ifrāīm ke beshumār afrād aise hī haiṅ, Manassī ke hazāroṅ afrād aise hī haiṅ.
19 Wuh dīgar qaumoṅ ko apne pahāṛ par āne kī dāwat deṅge aur wahāṅ rāstī kī qurbāniyāṅ pesh kareṅge. Wuh samundar kī kasrat aur samundar kī ret meṅ chhupe hue ḳhazānoṅ ko jazb kar leṅge.
21 Us ne apne lie sab se achchhī zamīn chun lī, rāhnumā kā hissā usī ke lie mahfūz rakhā gayā. Jab qaum ke rāhnumā jamā hue to us ne Rab kī rāst marzī pūrī kī aur Isrāīl ke bāre meṅ us ke faisle amal meṅ lāyā.
25 Tere shahroṅ ke darwāzoṅ ke kunḍe lohe aur pītal ke hoṅ, terī tāqat umr-bhar qāym rahe.
27 Azlī Ḳhudā terī panāhgāh hai, wuh apne azlī bāzū tere nīche phailāe rakhtā hai. Wuh dushman ko tere sāmne se bhagā kar use halāk karne ko kahtā hai.
28 Chunāṅche Isrāīl salāmatī se zindagī guzāregā, Yāqūb kā chashmā alag aur mahfūz rahegā. Us kī zamīn anāj aur angūr kī kasrat paidā karegī, aur us ke ūpar āsmān zamīn par os paṛne degā.
29 Ai Isrāīl, tū kitnā mubārak hai. Kaun terī mānind hai, jise Rab ne bachāyā hai. Wuh terī madad kī ḍhāl aur terī shān kī talwār hai. Tere dushman shikast khā kar terī ḳhushāmad kareṅge, aur tū un kī kamreṅ pāṅwoṅ tale kuchlegā.”
<- Istisnā 32Istisnā 34 ->