5 Wahāṅ Rab apne Ḳhudā ke lie qurbāngāh banānā. Jo patthar tū us ke lie istemāl kare unheṅ lohe ke kisī auzār se na tarāshnā. 6 Sirf sālim patthar istemāl kar. Qurbāngāh par Rab apne Ḳhudā ko bhasm hone wālī qurbāniyāṅ pesh kar. 7 Salāmatī kī qurbāniyāṅ bhī us par chaṛhā. Unheṅ wahāṅ Rab apne Ḳhudā ke huzūr khā kar ḳhushī manā. 8 Wahāṅ khaṛe kie gae pattharoṅ par sharīat ke tamām alfāz sāf sāf likhe jāeṅ.”
11 Usī din Mūsā ne Isrāīliyoṅ ko hukm de kar kahā, 12 “Dariyā-e-Yardan ko pār karne ke bād Shamāūn, Lāwī, Yahūdāh, Ishkār, Yūsuf aur Binyamīn ke qabīle Garizīm Pahāṛ par khaṛe ho jāeṅ. Wahāṅ wuh barkat ke alfāz boleṅ. 13 Bāqī qabīle yānī Rūbin, Jad, Āshar, Zabūlūn, Dān aur Naftālī Aibāl Pahāṛ par khaṛe ho kar lānat ke alfāz boleṅ.
14 Phir Lāwī tamām logoṅ se muḳhātib ho kar ūṅchī āwāz se kaheṅ,
15 ‘Us par lānat jo but tarāsh kar yā ḍhāl kar chupke se khaṛā kare. Rab ko kārīgar ke hāthoṅ se banī huī aisī chīz se ghin hai.’
16 Phir Lāwī kaheṅ, ‘Us par lānat jo apne bāp yā māṅ kī tahqīr kare.’
17 ‘Us par lānat jo apne paṛosī kī zamīn kī hudūd āge pīchhe kare.’
18 ‘Us par lānat jo kisī andhe kī rāhnumāī karke use ġhalat rāste par le jāe.’
19 ‘Us par lānat jo pardesiyoṅ, yatīmoṅ yā bewāoṅ ke huqūq qāym na rakhe.’
20 ‘Us par lānat jo apne bāp kī bīwī se hambistar ho jāe, kyoṅki wuh apne bāp kī behurmatī kartā hai.’
21 ‘Us par lānat jo jānwar se jinsī tālluq rakhe.’
22 ‘Us par lānat jo apnī sagī bahan, apne bāp kī beṭī yā apnī māṅ kī beṭī se hambistar ho jāe.’
23 ‘Us par lānat jo apnī sās se hambistar ho jāe.’
24 ‘Us par lānat jo chupke se apne hamwatan ko qatl kar de.’
25 ‘Us par lānat jo paise le kar kisī bequsūr shaḳhs ko qatl kare.’
26 ‘Us par lānat jo is sharīat kī bāteṅ qāym na rakhe, na in par amal kare.’