9 Lekin Rab hamārā Ḳhudā rahīm hai aur ḳhushī se muāf kartā hai, go ham us se sarkash hue haiṅ. 10 Na ham Rab apne Ḳhudā ke tābe rahe, na us ke un ahkām ke mutābiq zindagī guzārī jo us ne hameṅ apne ḳhādimoṅ yānī nabiyoṅ kī mārifat die the. 11 Tamām Isrāīl terī sharīat kī ḳhilāfwarzī karke sahīh rāh se bhaṭak gayā hai, koī terī sunane ke lie taiyār nahīṅ thā.
15 Ai Rab hamāre Ḳhudā, tū baṛī qudrat kā izhār karke apnī qaum ko Misr se nikāl lāyā. Yoṅ tere nām ko wuh izzat-o-jalāl milā jo āj tak qāym rahā hai. Is ke bāwujūd ham ne gunāh kiyā, ham se bedīn harkateṅ sarzad huī haiṅ. 16 Ai Rab, tū apne munsifānā kāmoṅ meṅ wafādār rahā hai! Ab bhī is kā lihāz kar aur apne saḳht ġhazab ko apne shahr aur muqaddas pahāṛ Yarūshalam se dūr kar! Yarūshalam aur terī qaum gird-o-nawāh kī qaumoṅ ke lie mazāq kā nishānā ban gaī hai, go ham mānte haiṅ ki yih hamāre gunāhoṅ aur hamāre bāpdādā kī ḳhatāoṅ kī wajah se ho rahā hai.
17 Ai hamāre Ḳhudā, ab apne ḳhādim kī duāoṅ aur iltijāoṅ ko sun! Ai Rab, apnī hī ḳhātir apne tabāhshudā maqdis par apne chehre kā mehrbān nūr chamkā. 18 Ai mere Ḳhudā, kān lagā kar merī sun! Apnī āṅkheṅ khol! Us shahr ke khanḍarāt par nazar kar jis par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai. Ham is lie tujh se iltijāeṅ nahīṅ kar rahe ki ham rāstbāz haiṅ balki is lie ki tū nihāyat mehrbān hai. 19 Ai Rab, hamārī sun! Ai Rab, hameṅ muāf kar! Ai mere Ḳhudā, apnī ḳhātir der na kar, kyoṅki tere shahr aur qaum par tere hī nām kā ṭhappā lagā hai.”
21 Maiṅ duā kar hī rahā thā ki Jibrāīl jise maiṅ ne dūsrī royā meṅ dekhā thā mere pās ā pahuṅchā. Rab ke ghar meṅ shām kī qurbānī pesh karne kā waqt thā. Maiṅ bahut hī thak gayā thā. 22 Us ne mujhe samjhā kar kahā, “Ai Dānyāl, ab maiṅ tujhe samajh aur basīrat dene ke lie āyā hūṅ. 23 Jyoṅ hī tū duā karne lagā to Allāh ne jawāb diyā, kyoṅki tū us kī nazar meṅ girāṅqadar hai. Maiṅ tujhe yih jawāb sunāne āyā hūṅ. Ab dhyān se royā ko samajh le! 24 Terī qaum aur tere muqaddas shahr ke lie 70 hafte muqarrar kie gae haiṅ tāki utne meṅ jarāym aur gunāhoṅ kā silsilā ḳhatm kiyā jāe, qusūr kā kaffārā diyā jāe, abadī rāstī qāym kī jāe, royā aur peshgoī kī tasdīq kī jāe aur muqaddastarīn jagah ko masah karke maḳhsūs-o-muqaddas kiyā jāe.
25 Ab jān le aur samajh le ki Yarūshalam ko dubārā tāmīr karne kā hukm diyā jāegā, lekin mazīd sāt hafte guzareṅge, phir hī Allāh ek hukmrān ko is kām ke lie chun kar masah karegā. Tab shahr ko 62 haftoṅ ke andar chaukoṅ aur ḳhandaqoṅ samet nae sire se tāmīr kiyā jāegā, go is daurān wuh kāfī musībat se dochār hogā. 26 In 62 haftoṅ ke bād Allāh ke masah kie gae bande ko qatl kiyā jāegā, aur us ke pās kuchh bhī nahīṅ hogā. Us waqt ek aur hukmrān kī qaum ā kar shahr aur maqdis ko tabāh karegī. Iḳhtitām sailāb kī sūrat meṅ āegā, aur āḳhir tak jang jārī rahegī, aisī tabāhī hogī jis kā faislā ho chukā hai. 27 Ek hafte tak yih hukmrān muta'addid logoṅ ko ek ahd ke taht rahne par majbūr karegā. Is hafte ke bīch meṅ wuh zabah aur ġhallā kī qurbāniyoṅ kā intazām band karegā aur maqdis ke ek taraf wuh kuchh khaṛā karegā jo behurmatī aur tabāhī kā bāis hai. Lekin tabāh karne wāle kā ḳhātmā bhī muqarrar kiyā gayā hai, aur āḳhirkār wuh bhī tabāh ho jāegā.”
<- Dānyāl 8Dānyāl 10 ->