Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site

1 Maiṅ chāhtā hūṅ ki āp jān leṅ ki maiṅ āp ke lie kis qadar jāṅfishānī kar rahā hūṅ—āp ke lie, Laudīkiyā wāloṅ ke lie aur un tamām īmāndāroṅ ke lie bhī jin kī mere sāth mulāqāt nahīṅ huī. 2 Merī koshish yih hai ki un kī dilī hauslā-afzāī kī jāe aur wuh muhabbat meṅ ek ho jāeṅ, ki unheṅ wuh ṭhos etamād hāsil ho jāe jo pūrī samajh se paidā hotā hai. Kyoṅki maiṅ chāhtā hūṅ ki wuh Allāh kā rāz jān leṅ. Rāz kyā hai? Masīh ḳhud. 3 Usī meṅ hikmat aur ilm-o-irfān ke tamām ḳhazāne poshīdā haiṅ.

4 Ġharz ḳhabardār raheṅ ki koī āp ko bazāhir sahīh aur mīṭhe mīṭhe alfāz se dhokā na de. 5 Kyoṅki go maiṅ jism ke lihāz se hāzir nahīṅ hūṅ, lekin Rūh meṅ maiṅ āp ke sāth hūṅ. Aur maiṅ yih dekh kar ḳhush hūṅ ki āp kitnī munazzam zindagī guzārte haiṅ, ki āp kā Masīh par īmān kitnā puḳhtā hai.

Masīh meṅ Zindagī
6 Āp ne Īsā Masīh ko Ḳhudāwand ke taur par qabūl kar liyā hai. Ab us meṅ zindagī guzāreṅ. 7 Us meṅ jaṛ pakaṛeṅ, us par apnī zindagī tāmīr kareṅ, us īmān meṅ mazbūt raheṅ jis kī āp ko tālīm dī gaī hai aur shukrguzārī se labrez ho jāeṅ.

8 Muhtāt raheṅ ki koī āp ko falsafiyānā aur mahz fareb dene wālī bātoṅ se apne jāl meṅ na phaṅsā le. Aisī bātoṅ kā sarchashmā Masīh nahīṅ balki insānī riwāyateṅ aur is duniyā kī quwwateṅ haiṅ. 9 Kyoṅki Masīh meṅ ulūhiyat kī sārī māmūrī mujassam ho kar sukūnat kartī hai. 10 Aur āp ko jo Masīh meṅ haiṅ us kī māmūrī meṅ sharīk kar diyā gayā hai. Wuhī har hukmrān aur iḳhtiyār wāle kā sar hai.

11 Us meṅ āte waqt āp kā ḳhatnā bhī karwāyā gayā. Lekin yih ḳhatnā insānī hāthoṅ se nahīṅ kiyā gayā balki Masīh ke wasīle se. Us waqt āp kī purānī fitrat utār dī gaī, 12 āp ko baptismā de kar Masīh ke sāth dafnāyā gayā aur āp ko īmān se zindā kar diyā gayā. Kyoṅki āp Allāh kī qudrat par īmān lāe the, usī qudrat par jis ne Masīh ko murdoṅ meṅ se zindā kar diyā thā. 13 Pahle āp apne gunāhoṅ aur nāmaḳhtūn jismānī hālat ke sabab se murdā the, lekin ab Allāh ne āp ko Masīh ke sāth zindā kar diyā hai. Us ne hamāre tamām gunāhoṅ ko muāf kar diyā hai. 14 Hamāre qarz kī jo rasīd apnī sharāyt kī binā par hamāre ḳhilāf thī use us ne mansūḳh kar diyā. Hāṅ, us ne ham se dūr karke use kīloṅ se salīb par jaṛ diyā. 15 Us ne hukmrānoṅ aur iḳhtiyār wāloṅ se un kā aslāh chhīn kar sab ke sāmne un kī ruswāī kī. Hāṅ, Masīh kī salībī maut se wuh Allāh ke qaidī ban gae aur unheṅ fatah ke julūs meṅ us ke pīchhe pīchhe chalnā paṛā.

16 Chunāṅche koī āp ko is wajah se mujrim na ṭhahrāe ki āp kyā kyā khāte-pīte yā kaun kaun-sī īdeṅ manāte haiṅ. Isī tarah koī āp kī adālat na kare agar āp Hilāl kī Īd yā Sabat kā din nahīṅ manāte. 17 Yih chīzeṅ to sirf āne wālī haqīqat kā sāyā hī haiṅ jabki yih haqīqat ḳhud Masīh meṅ pāī jātī hai. 18 Aise log āp ko mujrim na ṭhahrāeṅ jo zāhirī farotanī aur farishtoṅ kī pūjā par isrār karte haiṅ. Baṛī tafsīl se apnī royāoṅ meṅ dekhī huī bāteṅ bayān karte karte un ke ġhairrūhānī zahan ḳhāhmaḳhāh phūl jāte haiṅ. 19 Yoṅ unhoṅ ne Masīh ke sāth lage rahnā chhoṛ diyā agarche wuh badan kā sar hai. Wuhī joṛoṅ aur paṭṭhoṅ ke zariye pūre badan ko sahārā de kar us ke muḳhtalif hissoṅ ko joṛ detā hai. Yoṅ pūrā badan Allāh kī madad se taraqqī kartā jātā hai.

Masīh ke sāth Marnā aur Zindagī Guzārnā
20 Āp to Masīh ke sāth mar kar duniyā kī kuwwatoṅ se āzād ho gae haiṅ. Agar aisā hai to āp zindagī aise kyoṅ guzārte haiṅ jaise ki āp abhī tak is duniyā kī milkiyat haiṅ? Āp kyoṅ is ke ahkām ke tābe rahte haiṅ? 21 Masalan “Ise hāth na lagānā, wuh na chakhnā, yih na chhūnā.” 22 In tamām chīzoṅ kā maqsad to yih hai ki istemāl ho kar ḳhatm ho jāeṅ. Yih sirf insānī ahkām aur tālīmāt haiṅ. 23 Beshak yih ahkām jo ghaṛe hue mazhabī farāyz, nām-nihād farotanī aur jism ke saḳht dabāw kā taqāzā karte haiṅ hikmat par mabnī to lagte haiṅ, lekin yih bekār haiṅ aur sirf jism hī kī ḳhāhishāt pūrī karte haiṅ.

<- Kulussiyoṅ 1Kulussiyoṅ 3 ->