3 Tum apne āp ko āfat ke din se dūr samajh kar apnī zālim hukūmat dūsroṅ par jatāte ho. 4 Tum hāthīdāṅt se ārāstā palangoṅ par sote aur apne shāndār sofoṅ par pāṅw phailāte ho. Khāne ke lie tum apne rewaṛoṅ se achchhe achchhe bheṛ ke bachche aur moṭe-tāze bachhṛe chun lete ho. 5 Tum apne sitāroṅ ko bajā bajā kar Dāūd kī tarah muḳhtalif qism ke gīt taiyār karte ho. 6 Mai ko tum baṛe baṛe pyāloṅ se pī lete, behtarīn qism ke tel apne jism par milte ho. Afsos, tum parwā hī nahīṅ karte ki Yūsuf kā gharānā tabāh hone wālā hai.
7 Is lie tum un logoṅ meṅ se hoge jo pahle qaidī ban kar jilāwatan ho jāeṅge. Tab tumhārī rangraliyāṅ band ho jāeṅgī, tumhārī āwārāgard aur kāhil zindagī ḳhatm ho jāegī.
8 Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Mujhe Yāqūb kā ġhurūr dekh kar ghin ātī hai, us ke mahaloṅ se maiṅ mutanaffir hūṅ. Maiṅ shahr aur jo kuchh us meṅ hai dushman ke hawāle kar dūṅgā. Mere nām kī qasam, yih merā, Rab Qādir-e-mutlaq kā farmān hai.” 9 Us waqt agar ek ghar meṅ das ādmī rah jāeṅ to wuh bhī mar jāeṅge. 10 Phir jab koī rishtedār āe tāki lāshoṅ ko uṭhā kar dafnāne jāe aur dekhe ki ghar ke kisī kone meṅ abhī koī chhup kar bach gayā hai to wuh us se pūchhegā, “Kyā āp ke alāwā koī aur bhī bachā hai?” To wuh jawāb degā, “Nahīṅ, ek bhī nahīṅ.” Tab rishtedār kahegā, “Chup! Rab ke nām kā zikr mat karnā, aisā na ho ki wuh tujhe bhī maut ke ghāṭ utāre.” *‘Aisā na ho ki wuh . . . ghāṭ utāre’ izāfā hai tāki matlab sāf ho.
11 Kyoṅki Rab ne hukm diyā hai ki shāndār gharoṅ ko ṭukṛe ṭukṛe aur chhoṭe gharoṅ ko rezā rezā kiyā jāe.
12 Kyā ghoṛe chaṭṭānoṅ par sarpā dauṛte haiṅ? Kyā insān bail le kar un par hal chalātā hai? Lekin tum itnī hī ġhairfitrī harkateṅ karte ho. Kyoṅki tum insāf ko zahr meṅ aur rāstī kā mīṭhā phal kaṛwāhaṭ meṅ badal dete ho. 13 Tum Lo-dibār kī fatah par shādiyānā bajā bajā kar faḳhr karte ho, “Ham ne apnī hī tāqat se qarnaim par qabzā kar liyā!” 14 Chunāṅche Rab jo lashkaroṅ kā Ḳhudā hai farmātā hai, “Ai Isrāīlī qaum, maiṅ tere ḳhilāf ek qaum ko tahrīk dūṅgā jo tujhe shimāl ke shahr Labo-hamāt se le kar junūb kī wādī Arābā tak aziyat pahuṅchāegī.”
<- Āmūs 5Āmūs 7 ->- a ‘Aisā na ho ki wuh . . . ghāṭ utāre’ izāfā hai tāki matlab sāf ho.