6 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne kāl paṛne diyā. Har shahr aur ābādī meṅ roṭī ḳhatm huī. To bhī tum mere pās wāpas nahīṅ āe! 7 Abhī fasal ke pakne tak tīn māh bāqī the ki maiṅ ne tumhāre mulk meṅ bārishoṅ ko rok diyā. Maiṅ ne hone diyā ki ek shahr meṅ bārish huī jabki sāth wālā shahr us se mahrūm rahā, ek khet bārish se serāb huā jabki dūsrā jhulas gayā. 8 Jis shahr meṅ thoṛā-bahut pānī bāqī thā wahāṅ dīgar kaī shahroṅ ke bāshinde laṛkhaṛāte hue pahuṅche, lekin un ke lie kāfī nahīṅ thā. To bhī tum mere pās wāpas na āe!” Yih Rab kā farmān hai.
9 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne tumhārī fasloṅ ko patrog aur phaphūṅdī se tabāh kar diyā. Jo bhī tumhāre muta'addid angūr, anjīr, zaitūn aur bāqī phal ke bāġhoṅ meṅ ugtā thā use ṭiḍḍiyāṅ khā gaīṅ. To bhī tum mere pās wāpas na āe!”
10 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne tumhāre darmiyān aisī mohlak bīmārī phailā dī jaisī qadīm zamāne meṅ Misr meṅ phail gaī thī. Tumhāre naujawānoṅ ko maiṅ ne talwār se mār ḍālā, tumhāre ghoṛe tum se chhīn lie gae. Tumhārī lashkargāhoṅ meṅ lāshoṅ kā tāffun itnā phail gayā ki tum bahut tang hue. To bhī tum mere pās wāpas na āe.”
11 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne tumhāre darmiyān aisī tabāhī machāī jaisī us din huī jab maiṅ ne Sadūm aur Amūrā ko tabāh kiyā.
13 Kyoṅki Allāh hī pahāṛoṅ ko tashkīl detā, hawā ko ḳhalaq kartā aur apne ḳhayālāt ko insān par zāhir kartā hai. Wuhī taṛkā aur andherā paidā kartā aur wuhī zamīn kī bulandiyoṅ par chaltā hai. Us kā nām ‘Rab, Lashkaroṅ kā Ḳhudā’ hai.
<- Āmūs 3Āmūs 5 ->- a Lafzī tarjumā: ‘Basan kī gāyo.’ Basan ek pahāṛī ilāqā thā jis ke maweshī mashhūr the.