5 Agle din Yarūshalam meṅ Yahūdī adālat-e-āliyā ke sardāroṅ, buzurgoṅ aur sharīat ke ulamā kā ijlās mun'aqid huā. 6 Imām-e-āzam Hannā aur isī tarah Kāyfā, Yūhannā, Sikandar aur imām-e-āzam ke ḳhāndān ke dīgar mard bhī shāmil the. 7 Unhoṅ ne donoṅ ko apne darmiyān khaṛā karke pūchhā, “Tum ne yih kām kis quwwat aur nām se kiyā?”
8 Patras ne Rūhul-quds se māmūr ho kar un se kahā, “Qaum ke rāhnumāo aur buzurgo, 9 āj hamārī pūchh-gachh kī jā rahī hai ki ham ne māzūr ādmī par rahm kā izhār kis ke wasīle se kiyā ki use shafā mil gaī hai. 10 To phir āp sab aur pūrī qaum Isrāīl jān le ki yih Nāsarat ke Īsā Masīh ke nām se huā hai, jise āp ne maslūb kiyā aur jise Allāh ne murdoṅ meṅ se zindā kar diyā. Yih ādmī usī ke wasīle se sehhat pā kar yahāṅ āp ke sāmne khaṛā hai. 11 Īsā wuh patthar hai jis ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Jis patthar ko makān banāne wāloṅ ne radd kiyā wuh kone kā buniyādī patthar ban gayā.’ Aur āp hī ne use radd kar diyā hai. 12 Kisī dūsre ke wasīle se najāt hāsil nahīṅ hotī, kyoṅki āsmān ke tale ham insānoṅ ko koī aur nām nahīṅ baḳhshā gayā jis ke wasīle se ham najāt pā sakeṅ.”
13 Patras aur Yūhannā kī bāteṅ sun kar log hairān hue kyoṅki wuh dilerī se bāt kar rahe the agarche wuh na to ālim the, na unhoṅ ne sharīat kī ḳhās tālīm pāī thī. Sāth sāth sunane wāloṅ ne yih bhī jān liyā ki donoṅ Īsā ke sāthī haiṅ. 14 Lekin chūṅki wuh apnī āṅkhoṅ se us ādmī ko dekh rahe the jo shafā pā kar un ke sāth khaṛā thā is lie wuh is ke ḳhilāf koī bāt na kar sake. 15 Chunāṅche unhoṅ ne un donoṅ ko ijlās meṅ se bāhar jāne ko kahā aur āpas meṅ salāh-mashwarā karne lage, 16 “Ham in logoṅ ke sāth kyā sulūk kareṅ? Bāt wāzih hai ki un ke zariye ek ilāhī nishān dikhāyā gayā hai. Is kā Yarūshalam ke tamām bāshindoṅ ko ilm huā hai. Ham is kā inkār nahīṅ kar sakte. 17 Lekin lāzim hai ki unheṅ dhamkī de kar hukm deṅ ki wuh kisī bhī shaḳhs se yih nām le kar bāt na kareṅ, warnā yih muāmalā qaum meṅ mazīd phail jāegā.”
18 Chunāṅche unhoṅ ne donoṅ ko bulā kar hukm diyā ki wuh āindā Īsā ke nām se na kabhī boleṅ aur na tālīm deṅ.
19 Lekin Patras aur Yūhannā ne jawāb meṅ kahā, “Āp ḳhud faislā kar leṅ, kyā yih Allāh ke nazdīk ṭhīk hai ki ham us kī nisbat āp kī bāt māneṅ? 20 Mumkin hī nahīṅ ki jo kuchh ham ne dekh aur sun liyā hai use dūsroṅ ko sunāne se bāz raheṅ.”
21 Tab ijlās ke membarān ne donoṅ ko mazīd dhamkiyāṅ de kar chhoṛ diyā. Wuh faislā na kar sake ki kyā sazā deṅ, kyoṅki tamām log Patras aur Yūhannā ke is kām kī wajah se Allāh kī tamjīd kar rahe the. 22 Kyoṅki jis ādmī ko mojizānā taur par shafā milī thī wuh chālīs sāl se zyādā langaṛā rahā thā.
26 Duniyā ke bādshāh uṭh khaṛe hue,
27 Aur wāqaī yihī kuchh is shahr meṅ huā. Herodes Antipās, Puntiyus Pīlātus, Ġhairyahūdī aur Yahūdī sab tere muqaddas ḳhādim Īsā ke ḳhilāf jamā hue jise tū ne masah kiyā thā. 28 Lekin jo kuchh unhoṅ ne kiyā wuh tū ne apnī qudrat aur marzī se pahle hī se muqarrar kiyā thā. 29 Ai Rab, ab un kī dhamkiyoṅ par ġhaur kar. Apne ḳhādimoṅ ko apnā kalām sunāne kī baṛī dilerī atā farmā. 30 Apnī qudrat kā izhār kar tāki ham tere muqaddas ḳhādim Īsā ke nām se shafā, ilāhī nishān aur mojize dikhā sakeṅ.”
31 Duā ke iḳhtitām par wuh jagah hil gaī jahāṅ wuh jamā the. Sab Rūhul-quds se māmūr ho gae aur dilerī se Allāh kā kalām sunāne lage.
36 Masalan Yūsuf nāmī ek ādmī thā jis kā nām rasūloṅ ne Barnabās (Hauslā-afzāī kā Beṭā) rakhā thā. Wuh Lāwī qabīle se aur Jazīrā-e-Qubrus kā rahne wālā thā. 37 Us ne apnā ek khet faroḳht karke paise rasūloṅ ke pāṅwoṅ meṅ rakh die.
<- Āmāl 3Āmāl 5 ->