7 Kaī din ham āhistā āhistā chale aur baṛī mushkil se Kanidus ke qarīb pahuṅche. Lekin muḳhālif hawā kī wajah se ham ne Jazīrā-e-Krete kī taraf ruḳh kiyā aur Salmone Shahr ke qarīb se guzar kar Krete kī āṛ meṅ safr kiyā. 8 Lekin wahāṅ ham sāhil ke sāth sāth chalte hue baṛī mushkil se ek jagah pahuṅche jis kā nām ‘Hasīn-bandar’ thā. Shahr Lasayā us ke qarīb wāqe thā.
9 Bahut waqt zāe ho gayā thā aur ab bahrī safr ḳhatarnāk bhī ho chukā thā, kyoṅki Kaffārā kā din (taqrīban Nawambar ke shurū meṅ) guzar chukā thā. Is lie Paulus ne unheṅ āgāh kiyā, 10 “Hazarāt, mujhe patā hai ki āge jā kar ham par baṛī musībat āegī. Hameṅ jahāz, māl-o-asbāb aur jānoṅ kā nuqsān uṭhānā paṛegā.” 11 Lekin qaidiyoṅ par muqarrar Romī afsar ne us kī bāt nazarandāz karke jahāz ke nāḳhudā aur mālik kī bāt mānī. 12 Chūṅki ‘Hasīn-bandar’ meṅ jahāz ko sardiyoṅ ke mausam ke lie rakhnā mushkil thā is lie aksar log āge Feniks tak pahuṅch kar sardiyoṅ kā mausam guzārnā chāhte the. Kyoṅki Feniks Jazīrā-e-Krete kī achchhī bandargāh thī jo sirf junūb-maġhrib aur shimāl-maġhrib kī taraf khulī thī.
21 Kāfī der se dil nahīṅ chāhtā thā ki khānā khāyā jāe. Āḳhirkār Paulus ne logoṅ ke bīch meṅ khaṛe ho kar kahā, “Hazarāt, behtar hotā ki āp merī bāt mān kar Krete se rawānā na hote. Phir āp is musībat aur ḳhasāre se bach jāte. 22 Lekin ab maiṅ āp ko nasīhat kartā hūṅ ki hauslā rakheṅ. Āp meṅ se ek bhī nahīṅ maregā. Sirf jahāz tabāh ho jāegā. 23 Kyoṅki pichhlī rāt ek farishtā mere pās ā khaṛā huā, usī Ḳhudā kā farishtā jis kā maiṅ bandā hūṅ aur jis kī ibādat maiṅ kartā hūṅ. 24 Us ne kahā, ‘Paulus, mat ḍar. Lāzim hai ki tujhe shahanshāh ke sāmne pesh kiyā jāe. Aur Allāh apnī mehrbānī se tere wāste tamām hamsafroṅ kī jāneṅ bhī bachāe rakhegā.’ 25 Is lie hauslā rakheṅ, kyoṅki merā Allāh par īmān hai ki aisā hī hogā jis tarah us ne farmāyā hai. 26 Lekin jahāz ko kisī jazīre ke sāhil par chaṛh jānā hai.”
27 Tūfān kī chaudhwīṅ rāt jahāz Bahīrā-e-Adriyā par bahe chalā jā rahā thā ki taqrīban ādhī rāt ko mallāhoṅ ne mahsūs kiyā ki sāhil nazdīk ā rahā hai. 28 Pānī kī gahrāī kī paimāish karke unheṅ mālūm huā ki wuh 120 fuṭ thī. Thoṛī der ke bād us kī gahrāī 90 fuṭ ho chukī thī. 29 Wuh ḍar gae. Kyoṅki unhoṅ ne andāzā lagāyā ki ḳhatrā hai ki ham sāhil par paṛī chaṭṭānoṅ se ṭakrā jāeṅ. Is lie unhoṅ ne jahāz ke pichhle hisse se chār langar ḍāl kar duā kī ki din jaldī se chaṛh jāe. 30 Us waqt mallāhoṅ ne jahāz se farār hone kī koshish kī. Unhoṅ ne yih bahānā banā kar ki ham jahāz ke sāmne se bhī langar ḍālnā chāhte haiṅ bachāo-kashtī pānī meṅ utarne dī. 31 Is par Paulus ne qaidiyoṅ par muqarrar afsar aur faujiyoṅ se kahā, “Agar yih ādmī jahāz par na raheṅ to āp sab mar jāeṅge.” 32 Chunāṅche unhoṅ ne bachāo kashtī ke rasse ko kāṭ kar use khulā chhoṛ diyā.
33 Pau phaṭne wālī thī ki Paulus ne sab ko samjhāyā ki wuh kuchh khā leṅ. Us ne kahā, “Āp ne chaudah din se iztirāb kī hālat meṅ rah kar kuchh nahīṅ khāyā. 34 Ab mehrbānī karke kuchh khā leṅ. Yih āp ke bachāo ke lie zarūrī hai, kyoṅki āp na sirf bach jāeṅge balki āp kā ek bāl bhī bīkā nahīṅ hogā.” 35 Yih kah kar us ne kuchh roṭī lī aur un sab ke sāmne Allāh se shukrguzārī kī duā kī. Phir use toṛ kar khāne lagā. 36 Is se dūsroṅ kī hauslā-afzāī huī aur unhoṅ ne bhī kuchh khānā khāyā. 37 Jahāz par ham 276 afrād the. 38 Jab sab ser ho gae to gandum ko bhī samundar meṅ phaiṅkā gayā tāki jahāz aur halkā ho jāe.
42 Faujī qaidiyoṅ ko qatl karnā chāhte the tāki wuh jahāz se tair kar farār na ho sakeṅ. 43 Lekin un par muqarrar afsar Paulus ko bachānā chāhtā thā, is lie us ne unheṅ aisā karne na diyā. Us ne hukm diyā ki pahle wuh sab jo tair sakte haiṅ pānī meṅ chhalāṅg lagā kar kināre tak pahuṅcheṅ. 44 Bāqiyoṅ ko taḳhtoṅ yā jahāz ke kisī ṭukṛe ko pakaṛ kar pahuṅchnā thā. Yoṅ sab sahīh-salāmat sāhil tak pahuṅche.
<- Āmāl 26Āmāl 28 ->